Sunday, April 19, 2015

Kelly

ShahroN pe aesi bijliaN tab hi gira kerti hain aur aese toofan tab hi aaya kerte hain jab kisi ka dil reza reza huwa kerta hai.

Washington State main baarish aur toofan to roz hi aaya kerte the magar us raat toofan is qadar shadeed tha ke Ocean City ke makan main har lamha mera dil dharkta raha ke kahin koi deewar hi na gir paaRe. Poori raat bijlian kaRkti rahin, badal garjte rahe aur khiRkian khaRkti rahin......

Mujhe yaad hai us raat moom-batti ki roshni main, apni diary main ne tehreer kiya tha ke: "Kiya ye wahi toofan nahi hai jo is raat 'Kelly' ke dil-o-dimag se guzar raha hai"?

Kelly mere clinic main part time social health worker thi. Use apne shohar Jim se janoon ki had tak muhabbat thi. Jim ki Ma unke saath raha kerti thi magar har roz saas aur bahu main laRaai rehti thi. Kelly apni Mother-in-Law ko nafrat se Monster-in-Law  kaha kerti thi. Is se uski apni saas se nafrat ka andaza ho sakta hai....

.........Aur un dono ki laRaaii ke beech Jim chup chaap pees raha tha. Jim se main kai baar mil chuka tha. Intihaii shareefun-nafs aur khamosh tabiyat ka insaan tha. Woh is laRaaii  ke zaher ko andar hi andar peeta raha.

Aur phir aik din khabar aaii ke Jim ko brain tumor ho gaya hai aur aik dam se kuch dinoN main Jim is dunya se chala gaya. Kelly ko mehsoos hone laga ke Jim ko brain tumor uski wajah se huwa hai.

Jis din hum Jim ke funeral se wapas aaye, Kelly bohat roti rahi aur us raat bohat gazab ka toofan hamare shahr se guzra! Aesa toofan ke aaj tak us ki haibat mere dil per bethi hai.

Kal phir poori raat mere Shahr pe aik aesa hi toofan garajta raha! Aur andhere main apne bister pe lete lete main sochta raha - lagta hai aaj phir kisi Kelly ka dil reza reza huwa hai.

(Hear this post below)

No comments: