Saturday, April 04, 2015

Kohni (elbow)


Main shayed Medical College ke 3rd ya 4th year main tha. Main 'Sadar' se ghar jaane ke liye Mini-Bus main betha. Meri aage wali seat pe 70/80 baras ke aik baa-resh buzurg apne 9/10 saal ke pote ke saath bethe the. Mini-Bus main rush tha, Hamari seat ke saath aik 15/16 saal ka laRka, Mini-Bus ka danda pakRe khaRa tha. Mini jo tezi se bhagna shuru hui to us laRke ka haat Dande se 2/3 baar chooT gaya, aur un Buzurg ko uski kohni lag gai. Buzurg jalal main aa gaye. Gaalion main laRke ke khandan ki patloon tak utar li. LaRka shariff sa tha, chup raha...baat yahan tak hoti to theek thi ke Karachi ki basoN main ye roz ka maamool tha.....magar buzurg laRke ke saath, apne pote seemat us ke 'stop' pe utar gaye.... (Mujeh kahaniaN dhundne ka aur Sherlock Holmes banne ka shoq tha - main bhi utar gaya ke dekhun kiya hota hai)....Buzurk ne us laRke ke kaan pakre aur us ke ghar ki taraf saath chal diye....woh gareeb , 'che piddi che piddi ka shorba', buzurg ko saRak se 8/10 galian choR ke apne ghar ke darwaze tuk le gaya (main wahan se wapas muR gaya). ........Ye chota sa, bulke bohat chota sa waqiyaa tha, magar ye waqiya barsoN mujeh yaad raha aur main sochta raha..Buzurg ki Ana aur kadoorat ne na sirf unka apna aur larke ka waqt barbaad kiya bulke larke aur uske ghar walon ko bhi kis zehni azziyat se guzara ho gaa, bulke sabse baRh ker apne potey ke dimag pe kiya asar daala hoga ----  ...aur phir ye waqiyaa aahista aahista dimag se mahev ho gaya....

Is baat ke koi 22 baras baad, meri Ottawa ki flight thi, aur Toronto se connection tha. Mujeh andaza nahi tha ke Canadian immigration Toronto se hoga aur Ottawa ke liye mujeh 'Terminal change' aur phir se 'domestic security' se guzarna ho ga....Main jab 'domestic security' pe pauncha to saamne aik lambi qataar thi aur meri flight ne '30 minutes' main 'depart' hona tha. Main har kisi se kehta: "I have flight in 30 minutes, may I go ahead?" aur har koi mujeh aapne aage jaane deta.....security se zara pehle aik 80/85 baras ke baRe mian ne kaha: "No you can't. Be in line. And I don't care if you miss your flight"... Kiya kerta.....I stayed in line. (After security I ran as hard as I can, holding my belt and shoes in one hand and bag in other and made to flight). .... Us din mujeh pehla wala waqiyaa aik dum se yaad aa gaya.

(I hope, I don't get that jhakki in my oldhood)

Zindagi main mujeh ye baat seekhne main bohat waqt laga ke: "Har baat main, sahi hona zaroori nahi, magar maherbaan hona zaroori hai" (Its more important in life to be kind than always be right).

3 comments:

bsc said...

haha Bhai I am a baresh buzug of 81 now and I hope I would not do such a thing that I have never done so far
BTW I'll have to find my story in old papers so forgive me for the delay

bsc said...

Incidentally, where did you get the word "Jhakki"?
Being simply old may not be appropriate for Jhakki word though it can be used in some sense.
My teacher in my fifth class was old (retired after teachng my class) We called him Master Jhakki and I thought his sleepiness and such habbits in his chair were related to him taking some 'drug' and that is why we named him so.

mystic-soul said...

In Karachi, we always use jhakki for a person who is inappropriate, in his world, goes again norm,, doing unexpected things....little angry type