Wednesday, July 22, 2015

Mukammal Aurat

"Tum saat samandar paar ker ke sirf mujh se milne kiun aaye ho. Kiya mujh se muhabbat kerte ho?"

"Muhabbat to nahi kerta magar haan - Is liye ke main dekhna chahta tha mukammal aurat (complete woman) kesi hoti hai?"

"Ye mukammal aurat kiya hoti hai?"

"Sarapa-wajood-e-Zan insaan ki zindagi ko rangoN se bhar deti hai. Woh jo Faiz ne kha ke

Champaai rang kabhi, raahat-e-deedaar ka rang 
Surmayi rang ke hai sa’at-e-bezaar ka rang 
Zard patton ka, khas-o-khaar ka rang 
Surkh phoolon ka, dehekte huwe gulzaar ka rang 
Zehar ka rang, lahu rang, shab-e-taar ka rang

"Phir?"

"Phir ye ke  jab woh teen dusri aurton ke saath mehfil main bethti hai, to aap ka jee chahta hai aap sirf usey dekhain. Us ki muskurahat sab se munfarid hoti hai - jis main garmi bhi hai, harkat bhi, tawanii bhi - Us ki aankhon main bala ka samandar hota hai"

"Magar ye to bohat si aurton main hota hai?"

"Haan magar mukammal aurat woh hoti hai, jo wisal ke baad bhi mard ko baar baar apni taraf khenchti hai. Jese koi badshah Qilaa fatah ker ke phir wahiN laut aaye. Bas ye aik aesa imtiaaz hai jo mukammal aurat ko baqi aurtoN se afzal kerta hai....Yahi woh mukammal aurat hai jis ki tasveer sadioN se har musaweer ne banane ki koshish ki hai' .





3 comments:

Beyond said...

Sounds like love to me;-)

Mystic said...

If it does, its disturbing

Shaan said...

I agreed it is disturbing but we still find so peace in it. ek alag sa sukoon jo kisi bhi cheez se nahi mil sakta....wonderful blog loved it.