Thursday, October 29, 2015

Maryam

Jab peechle saal main Rome ja raha tha to Elsa (my co-worker) ne mujh se kaha mere liye Bibi Maryam ke naam ki tasbeeh (rosary) le aana. Jab main wapas aaya to usne mujh se poocha: "Tumhe Vatican main sab se achha kiya laga?"

Main ne Jawab diya: "Maryam ke naam ki tasbeeh"

To hasne lagi aur kehne lagi: "Tum to Vatican ja ker bilkul hi isaaii ho gaye ho?"

Main ne kaha: "Ye baat nahi....magar jun jun meri umar guzarti ja rahi hai...main sochta hun Ibne maryam to saare zamane ke dukhoN ka madawa kerta tha - magar Maryam apni aulad pe hota zulm dekh ker jis dukh aur karb se guzarti hogi, to us bechaari ke aansu kaun paunchta hoga....."

No comments: