Jab hum chote the to dadi ghar ke aangan main hume jin, tote, badshah, shahzadi wagera ki kahanian sunatin..
Ooper taaron se bhara khula aasman aur neeche dadi ki god - aur mashoor ker dene wali kahanian
- kisi jannat se kum na thin.
Dadi hume 2 Jin ki kahani sunati:
"Aik gaun main aik baRa zalim jin rehta tha - Sab us se darte - Jin bara kamina tha - Har kisi ko khub tang kerta - Aik din us gaun main aik bohat hi Qavi-haikal aur bohat baRa dusra Jin aa gaya"
~ Is kahani ki theme pe dadi hume kai kahanian sunati
Magar har kahani ke aakhir main baRa jin, zalim jin ko zinda choR deta.
Hamara baRa ji chahta ke baRa jin - zaalim jin ko maar ke kha jaaye. Hum dadi se zid kerte ke - aap zalim jin ko maar dain.. aur dadi hamare sir pe haat pher ke kehti -
"Jub insaan taqatwar aur bohat uncha ho jaaye - to us ke liye zaroori ho jaata hai - ko woh rahemdil ho jaaye".
- Dil to aaj bhi yahi kerta hai ke zalim jin maara jaaye magar apne khandan ke bachhon ko jab kahani sunata hun to zalim jin ko baksh deta hun...ke kahani ka sabaq ziyada zaroori hai!!

No comments:
Post a Comment