Wednesday, April 21, 2021

Slippery slope

 Main aur Naeem Mohsin medical college ke dost the bulke class fellow the. Hum ne saath saath USMLE ki tayyari ki. Saath saath America aaye. phir Chicago main bhi saath rahe - residency ki. Us ke baad alag ho gaye....woh Chicago reh gaya. Meri la-ubali tabiyaat mujeh dusre shahron le gai...

Aur phir aik dusre ke phone number bhi kho gaye...

....barson yun beete jese bus abhi palkain jhapki hon..... aur ye khabar bijli ban ke giri ke Naeem Mohsin ne Chicago main khud kushi ker li....

2 din tak main kuch sochne ke qabil na tha. Zindagi ke 10-12 baras saath guzare the. Achha khasa samjhdar aadmi tha. 

Kab kahan kahani main kesa moR aaya kisi ko khabar na hui. 

Doston ne bataya - Us ne saare doston se raabte toR liye the...har kisi se jhagra kerne laga tha ....biwi bachhe bhi choR ke chale gaye....peeche Pakistan se bhi ghar walon ne nate toR liye....

........kab kis zehni bimari ka shikar hua - aur kiun huwa - pata na laga... 

license bhi haat se chala gaya... paise khatam ho gaye...kisi shelter main panah li

...aur phir aik raat khudkushi ker li...

Ye zindagi bhi bari kutti cheez hai. Aik dafa 'slippery slope' pe paun phisal jaaye to phir sambhalne nahi deti. Ye koi pehli dafa to nahi huwa. Ye blog aesi kahanion se bhara paRa hai...

.. apne doston se milte rahiye. Zindagi ke kis muqam pe kis ko kis ke sahare ki zaroorat paR jaaye, kiya malum.

(In the United States - on average - one physician commit suicide every day)

4 comments:

bsc said...

Afsos hay, Allah us ki ghaltian maaf karay
There is an article I have read about the burn-out effect of pandemic on healthcare workers and probably understandable to some extent
I was thinking of you particularly and pray for your safety and your happiness and that of your family. There is our dedication being tested and probably all over the world and the article says some physicians are quitting or thinking of leaving the profession Suicide rates have gone up among the healthcare workers. I wish I could tell you how to connect to that article

mehnaz said...


Dear Mystic and Uncle
Salaam

Uncle, I say Aaameen to all your duas!
the health professionals are working tirelessly all around the globe, may God help everyone!

mystic-soul said...

Pandemic did take a toll on me for a while due to the unusual number of deaths every day so close (it was a warzone), though I enjoyed my isolation from the world. After August things were better, as per Ghalib: Muskilain mujh pe pari itni ke asaan ho gain..

Burnout among healthcare workers is high and pandemic made it worse. I personally know many physicians who left the profession. Divorce, depression, and suicide are rampant...

mystic-soul said...

Mehnaz: Shukriya