Tuesday, May 22, 2007

Aftab Khan of Lahore

Jub peter mera intern bun ker aaya to pehle hafte jese mujhe woh nazar hi nahi aata tha. Magar kaam bhi saare ho jaate the. Labs bhi check ho jaati, consultants bhi notify ho jaate, progress notes bhi likhe hote the aur patients discharge bhi timely ho jaate - magar peter jese wahan huwe bagair kaam kerta tha. Peter ne mujhe lahore ke Aftab khan ki yaad dila di.

Aftab Khan bhi shayed sulemani topi pehnta tha !


Jub main ne America main residency shuru ki to Aftab Khan mera senior resident tha, magar shuru ke 2 ya 3 mahine main ne use dekha hi nahi tha sirf naam suna tha. Aftab Khan nazar nahi aata tha magar us ka zikar hur jaga hota tha. Pehli baar main ne Aftab Khan ko CT scan main aik patient ka code blue run kerte huwe dekha. Code blue ke baad us ne chief resident se koi baat ki aur phir aik mahina nazar nahi aaya. Aahista aahista mujh pe Aftab Khan ki khubian khulna shuru huin. Aftab ka taaluq lahore se tha aur us ka dil bhi lahori tha. Doston ka dost tha. Jub meri medical floor pe uske saath rotation hui aur main ne as a intern koi blunder ker diya to subha Aftab ne sara ilzam apne sir le liya magar allah ne use baat kerne ka aesa dhang diya tha ke kubhi koi attending us se naraz na huwa bulke program director ke chahiton main shamil tha !

Aik din main ne aftab se poocha, "tumhari is perfect PR (personal relationship) technique ka kiya raaz hai".

Us ne kaha: "Hamare punjab ki kahawat hai ke - maalik ki agari aur ghore ki peechari se bacho. Mutlab bar bar boss ke saamne jake ya logon ke around jaake oversmart na bano. Either boss will dislike you aur people will start throwing you down from their back. Professional world main kamyabi ka ye asool yaad rakho. Keep low level. Don't make waves. Avoid gossips. Just finish and fulfill your responsibility".

Jo sabaq hum hard way sikhte hain, Aftab Khan ne asani se lahore se chalte kisi buzurg se sun ke saath bandh liya. Buzurgon ki hulki phulki kahawaton main hi zindagi ki dor bandhi hoti hai.

Aftab Khan shayed aaj bhi sulemani topi pehnta hoga !!

2 comments:

sobia said...

buhut achi observation hai. iss se milta julta aik usool hai jis ko mein 'method of least contact' kehti hun. jub hum apne professional colleagues se buhut ziada contact mein rehte hein to buhut sare masle paida ho jate hein khusoosi taur per khwateen k liye. mera zati mushahida hai k her colleague/boss k sath zaati taluqat ustawar kerne ki koshish kerna sahi nahi hai.

Anonymous said...

I think, its important to have a line between a colleagues and a friend. Baqol Faraz

Dost hota nahi har haat milane wala

Mystic