Saturday, May 19, 2007

Karachi

(Ye nazam main ne 20 baras pehle likhi thi magar 12 may ko karachi main jo kuch huwa aur jab main ne raza rumi ki nazam parhi - it made me pull my diary and read this poem again. It was written as perody of Maulana Altaf Hussain Hali's Musaddase Mad-o-jazar Islam )


Karachi jis ka charcha hai ye kuch woh kiya hai
Pakistan se alag aik jungle-numa hai


fasanon se bharpur jis ki qabaa hai
na khaufe saza hai, na zoqe wafa hai


sabar o thammul ka is per para hai na saaya
sultane-jamhoor ka yaan qadam tuk na aaya




na police na deegar hain aese zameer perwar
Alif laila agar phir paida hon Iqbal aur Johar


na kuch aese intizam hain yahan mayassar
mujrim jis se pakre jaayain sub ke barabar


na bijli hai, nalkon main paida na paani
faqat load shedding pe hai zindagani


kaam hamare jitne hain sub rishwatana
hur aik loot aur maar main yagana


curfew main kutta hai hamara zamana
Nahi hai koi firing ka tazyaana


hum hain qatal-o-garat main chalak aese
dareende hon jungle main be-baak jese




kahin pehle jhanda lagane pe jhagra
kahin aage jalsa barhane pe jhagra


lub-e-shugal kahin banner lagane pe jhagra
kahin mini bus ke jalne jalane pe jhagra


yunhi roz laraii hai be-khauf hum main
yunhi roz chalti hai kalashnikov hum main



pathrao hamari din raat ki dil-lagi hai
pistol hamari ghutti main goya pari hai


sifarish hai, zalalat hai, begaangi hai
garz hur tarah hum main jahalat bhari hai


bahut khun ki hum ne bahai hai nadyan
kub nekiun pe chaii chatain gi ye badian

2 comments:

Raza Rumi said...

wah wah
Aapki nazm bohat umda hai. You have maintained the style and the progression.

thanks also for linking my Karachi poem here and leaving such encouraging remarks on my blog.

much appreciated, Raza

www.razarumi.wordpress.com

mystic-soul said...

Ye saara kamal altaf hussain Hali ka hai. Main ne to sirf lafz badle hain.