Tuesday, May 16, 2023

Makafate amal

Kiya hamari zindagi main hone wale bohut se (budnaseeb) waqiaat kisi ke dil se nikli bud-duaoN ka mazhar hote haiN ya qudrat ka apna makafate amal ka silsilsla hai (kubhi foran aur kubhi der se magar burwaqt). - kiya kuch der ke liye hum aksar andhe, behre, gunge aur hamara dimag maauf 'ker diya' jaata hai. Hum 'robot' bana diye jaate haiN.

Kiya kahin koi notebook hai jis main sub kuch save ho jaata hai. 
Kiya insaan kabhi apni notebook dekh paaye ga?

Ye Naqs kis ki shokhiye tehreer ke faryadi haiN. 
Hamari zindagi ke waaqiaat ke in kaagzi perahan ki pekare tasveer kahan hai?

Ya hum log ye sub sochte huwe bus sirf aik "rationalization" kerte haiN?


(Kiya yahi woh sawalat nahi haiN, jo sadioN se insaan ke sare falsafe, dar, umeed, mazahib, samaaj, jang, rivayat aur har tarah ki zehni kawishoN ka mehwar rahe haiN).

2 comments:

bsc said...

HaN bilkul yehi baat hay
Main ye bhi sochta hun ke iss duniya men jo makafaat zahoor mazeer hoti hen woh hamari Akhirat men azaab ko decrease kertee hongi ya azab to khatam bhi ker sakti hongi?

zkidiary said...

We are surrounded by so many unknowns...