Woh dono bhi ajeeb mian biwi the.
Aik dum se barson ke liye gaib ho gaye.
Kuch saalon pehle woh biwi ke kisi rishtedar ke haan chutian guzaarne gaye the. Khubsurat jagah thi. Paharon ke tale, jharne aur jheel ki waadi main, us lamhe biwi ne mian se kaha yahin reh jaate hain aur us ne kaha theek hai. Barson baad ab kisi sarkari kaam se wahan gaya to mulaqat hui. Chehre pe wahi taazgi, khushi aur muskurahat thi.
Aese hi koi kahin reh jaata hai?
Ajeeb mian biwi the!

No comments:
Post a Comment