Saturday, February 04, 2006

Bigre chehre wala aadmi

Us bigre chehre waale aadmi ki bhi kahani kuch ajeeb hai. Ma ne waqt se do mahine pehle janam de diya. Suna hai, itna kamzor tha ke bari masheri ke beech rakhte the ke koi bagair dekhe beth hi na jaaye. Sub ko uthane ki ijazat bhi na thi. Isi main, bachpun hi se aik aankh main nuqs bhi reh gaya. Paanch baras ka huwa to naye mulk ki hijrat aan pari. Jahan laakhon kahanian likhi gain wahin aik choti si kahani us ki bhi thi ke baap kho gaya. Naye mulk ke khawab jab pet ki aag se chaknachoor huwe to bachpan hi main kaam kerne ma ke saath factory jaana para. Gurbat aur bimari ka choli daman ka saath hai. Pehle choti choti bimarian rehti thin phir darde-shikam jo laga to zindagi ke aath baras ke saath saath badan bhi kha gaya. Jawani main kai lurkion se ishq huwa per kaun mun lagata. Phir aik aam si mun-phat aurat se biha diya gaya. In sub ke saath, muaashre ki na-insaafion ki roz ki daastan ne us ke sochne ka andaaz aur cheezon ko dekhne parakhne ka tariqa sub se judagana ker diya. Ab woh kisi mehfil main 'fit' nahi hota.

Woh bigre chehre wala aadmi.

No comments: