Black hole
Kiya jo waaqiya mujh pe nahi guzra
main us qisse ka bhi hissa hun
Kiya judaai ka jo lamha mujh pe nahi beeta
main us ghari ka bhi hissa hun
aik wqat mere ander rehta hai
zaman-o-makan se pare
jo saalim mukammal hai
maazi ki sadion se aTa aur
mustaqbil ki goonj se bhara
main kaainat ke us nuqte,
us 'black hole' ka saaniha hun
jo wehdat ki kasrat se pehlne wali
‘bang’ ka hissa hai
meri ruh us dhamake ki tawani
se paida hui hai
aur apne ander us 'black hole' ki
baazghast liye huwe hai
sara dukh simte huwe hai
kabhi kabhi
main aansu-on se ter
apni neend se bedaar ho ker
un waaiqat ko dekhta hun
meri ruh - meri tawani
apne black hole ke us markaz ko
us aik nuqte ko,
apni wehdat ke waapsi ke us raste ko
dhundhne main sadion se sargardan hai
Aur main ruhon ke is rewar main
hur ruh ka hissa hun!
Kiya jo waaqiya mujh pe nahi guzra
main us qisse ka bhi hissa hun
Kiya judaai ka jo lamha mujh pe nahi beeta
main us ghari ka bhi hissa hun
aik wqat mere ander rehta hai
zaman-o-makan se pare
jo saalim mukammal hai
maazi ki sadion se aTa aur
mustaqbil ki goonj se bhara
main kaainat ke us nuqte,
us 'black hole' ka saaniha hun
jo wehdat ki kasrat se pehlne wali
‘bang’ ka hissa hai
meri ruh us dhamake ki tawani
se paida hui hai
aur apne ander us 'black hole' ki
baazghast liye huwe hai
sara dukh simte huwe hai
kabhi kabhi
main aansu-on se ter
apni neend se bedaar ho ker
un waaiqat ko dekhta hun
meri ruh - meri tawani
apne black hole ke us markaz ko
us aik nuqte ko,
apni wehdat ke waapsi ke us raste ko
dhundhne main sadion se sargardan hai
Aur main ruhon ke is rewar main
hur ruh ka hissa hun!