Koi 2 saal pehle is blog pe main ne apne nana ki aik choti si baat likhi thi jis main unhon ne makan se inssan ki wabastagi ka zikar kiya tha (here)
Mera aik dost aaj kul 'house' buy kerne ke liye alag alag neighbouhood ke chakkar kaat raha hai. Us ke walid (visiting from Pakistan) ka israr hai ke woh jo makan bhi dekhne jaaye unhe zaroor saath le jaaye.
Main ne apne dost se poocha: "Tumhare walid ka har makan dekhne ke liye saath chalna mujhe kuch ajeeb sa lagta hai. Ye faisla to tum dono mian biwi ko kerna chahiye"
Mere dost ne jawab diya: "Tumhari baat theek hogi. Magar mere abbu kehte hain, har makan ki apni aik musbat ya manfi maqnatisyat (postive or negative vibes) hoti hai. Jis makan main kubhi achhe log rehte hain, woh makan aap hi apni khusbu deta hai aur wahan rehne wale khub abad hote hain, unhe sukoon ka aehsas rehta hai aur unke kaam khub bunte hain. Aur kuch makan apne saath nahoosat ke saaye le ker aate hain.
Mere walid saath chalte hain to na to woh makan ki qeemat poochte hain na tafseel janna chahte hain - na to unhon ne is makan main rehna hai - jub tuk hum mian biwi apne hisab se makan jaanchte hain woh bus chup chap makan ke andar phirte rehte hain. Pasand aata hai to sir hila ke kehte hain "theek hai" ya phir kehte hain - koi dusra makan bhi nazar main rakho".
Kiya ye sach hoga ke - "every house has its positive or negative vibes?"