Tum kiya jano ishq ka ghao kiya hota hai.
Hamara kunba kattar ahle-tashee tha. Muharram ke mahine main ghar pe matam aur noha-khawani hona, bahir sabeel lagana, shame gareebaN ki majlis main jana aur taziye sajana - jub se aankh khuli yahi dekha tha.
Aur phir mujhe aik naujawan se mohabbat ho gai. Wahi meri zindagi ho gaya. Wahi mera orhna bichona ban gaya. Usi ke dam se har chiragaN tha. Use bhi shayed mujh se itni hi mohabbat thi. Pehle chup chup ke chitthi ke zariye ishq hua, phir mulaqataiN hone lagi. Ghar walon ko pata laga to pehle shamat aayi magar abba ne halat ki naazuki ko jana aur usse se kaha, hamare ghar rishta bhej de. Woh rishta le ker aaye, baat pakki ho gayi. Tayyariyan hone lagi, 'card' bat gaye. Main aroosi jore ke khawab bunne lagi. Main saatwaiN aasman pe thi. Duniya mere peroN tale thi. Lagta tha sab kuch mil gaya.
Shadi ko 7 roz baqi the ke meri hone wali saas ne mujhe ghar bulaya aur kaha: "Is ghar main bahu ban ke aana hai to - apna maslak chorna hoga, tumhe sunni banna pare ga". Meri aankoN tale andhera aa gaya. Larka bhi 'Summun Bukmun Umyun' ho gaya. Main ishq aur iman ke beech phans gai. Main ne Iman ko chun liya. Maslak chorne se inkar ker diya. Baat barh gai. Abba bhi bharak gaye. Shadi toot gayi. Woh gusse main America chala gaya.
Main aadhi pagal ho gayi. Soch soch ker mera blood pressure itna barha ke 'stroke' ho gaya. Socho 23 baras ki lurki ko 'stroke' ho jaaye. Us se bachi to saare baal sufed hona shuru ho gaye. Doctors ne test kiye to bataya koi 'auto-immune disease' hai. "Steroid" se itni moti ho gai ke ab khud ko aaine main dekhti hun to ghin aati hai. Ye baalon pe khizab laga hai. Ye jild ki mulayimat masnooyi hai (softness of skin is fake).......
Ab bhi poora din bank main kaam ker ke jub ghar aati hun aur thake haare aankh band ker ke takiye pe sir rakhti hun to lagta hai jese uske qadmoN ki aahat hui hai......Tum dekhna aik din isi 'insomnia' se mar jaaun gi..
Mere bhole doctor - Tum kiya jano ishq ka ghao kiya hota hai.
11 comments:
Salam
is blog ko read karta hon intresting ayesa hota hay baat asal main yh hay kai apni lage to dil main or dosray ki lage to dewar main jis pay ISHQ ka rog na guzra ho wo nahen jan sakta
aik muslak ki shadi dosray ka sath waisay bhi chalte nahen aulad bhi disturb hi hojate hay
S.H.Kazmi
Larkay ko apni mother ka pata nahen tha bhagora kahen ka kanjaron ki aulad ayesi hi bhagore hoti hay randizaday
Kazmi shahab welcome.....Baqol ghalib: Mujeh kia bura tha marna agar aik baar hota
Annonym: This is not an appropriate language. PLEASE !!
Yaqeenan maiN Ishq say nawaqif huN. laikin"madzhab" ka ikhtilaaf waqyee mushkilat paida kerta. Behter huwa kih doosray aur mustaqbil kay bacchay is say bach gaiay.
Hamaray sath aik doctor saheb aik hindoo laRki kay ishq maiN mubtala huway larki kay waldain is sauday per razi nah huway to unhaiN bhi "bichhaRna" paRa tha. Apni zindagi maiN aisay joRoN ko settled bhi dekha hay aur unsettled bhi yani disasterous hadd tak.
Baat wohi reh jaati hay
Mian Beevi razi to kiya karay ga Qazi
All depends upon the the two pwrsons who wish to pass their life together and how.
Woh insaan he kiya jo ishq kaa ghao bhi naa bardasht kar sake!
annonymous: Shayed ishq cheez hi aesi hai
oh phuleez
;)
oh phuleez...bole to?
bole to... give me a break!!!
lolll
i m unable to understand through this blog,what message ur trying to convey,is ka matalab heay k ab us ko appna maslaq choose kar k wo alone rah gai...so koi bhi apna maslaq muhabbat k ageay choose na karey,,,,
nahi bilkul nahi. I don't mean it. What this story portrays here is that - sometime 'ishq' destroyed people. I think, she did what she was suppose to do. She did right thing but ...ye dil saala bara harami hai.....
Post a Comment