Sunday, June 13, 2010

Lower Middle Class

Zindagi main kum hi baap apni aulad ka haat tham ke rote honge or maafi mangte honge. Hum Karachi ke aik neechle mutawassat (lower middle class) ilaqe main reehaish-pazeer hain. Abbu ki bank main aik naukri hai. Hum 4 bhai-bahen hain - sub parhte hain. Bari mushkil se sufed-poshi ka bharam qaaim hai. Abbu hum logon ko rozana choti choti khushioN ke liye tarasta dekhte hain. Aik sham hamari sab se choti laadli ne pizza hut jaane ki zid ki.. Hum sab 'living room' main bethe the. Abbu ka dil bhar aaya. Abbu bilak bilak ke rone lage. Abbu ne mera haat thama aur kehne lage:

"Aesa nahi ke mujeh tum logoN ki khushioN ka aehsas nahi.. Jaanta hun tum sab ka bhi dil kerta hai ke mobile phone hoN. Naye computer hoN. Pizza hut, McDonald jao. Baqi logoN ki tarah achhe kupre pehno. Meri betiyoN ko rozana subah bus stop pe jin nazroN ka samna kerna parta hai uska bhi aehsas hai magar kiya karun. Woh himmat kahan se laaun jis se log haram ka paisa kama lete hain. Mere bachhon mujeh maaf ker do ke main is mehngai aur zaalim zamane main tum logon ke liye kuch nahi ker sakta...."

8 comments:

bsc said...

I want to say something but cannot find words and my eyes are wet

mystic said...

Unfortunately this is not the story of one father but thousands rather many million fathers across that country.

Anonymous said...

I think these kids should consider themselves one of the luckiest kids who have a father at home and a responsible one too, as compared to the kids who have all those material things but are betrayed by one or both parents, those are the wounds that never heal

mystic said...

I agree 100% but it take years before kids realize this (call power of materialism)..its unfortunate..

mere dost said...

so moving, but not sad. these are the struggles that will make these kids strong (although sometimes the opposite happens when you see such kids growing up feeling extra attached to material things). But I pray for their peace in their hearts. Inshallah.

mystic said...

Mere dost - as per Allama Iqbal

Tundiye baad-mukhalif se na ghabra aye uqaab
ye to chalti hai tujhe uncha uraane ke liye

Anonymous said...

haan yahe sheer kah kah kay awam ko bhalaya jata hay

mystic said...

hahaha..I really laughed..

Its true that hamari 'awam' ko sher, naare aur nagme suna suna ke behlaya jata hai