(Shared on dinner table)
Mere Abbu aik 'self made' insaan the. Mere dada ke paas bari daulat thi magar abbu ne un ka aik paisa nahi liya aur khali haat Pakistan hijrat ker gaye. Unhon ne Pakistan main apni zindagi phir se shuru ki, shadi ki aur hum 6 bhai bahen paida huwe. Abbu ne sadar main aik choti si dukan shuru ki. Mehnat aur lagan se use parwan charhaya. Jub bhai ne hum sab ko Canada ke liye 'sponsor' kiya to abbu makhmase (confusion) main par gaye ke 40 saal purani dukan ka kiya karain? Yun to woh dukan kiraye pe thi magar uski pagri (Goodwill) kum az kum 50-70 lakh hogi. Abbu ke liye woh Dukan bechna yun tha jese aulad ko bechna. Hum sab ke mashware pe abbu ne beech ka raasta akhtiyar kiya. Unhon ne Dukan apne 28 saal purane mulazim - Jamil Chacha - ko chalane de di. Waada ye tha ke agar kubhi abbu wapas aana chahain to dukan unhe mil jaaye. Aur har mahine Jamil Chacha 3000 rupe abbu ki mad main jama kerte jaayain. Baqi ooper jo kamai ho woh Jamil Chacha ki.
Jamil Chacha ke kehne pe abbu ne maalik makan se keh ker Dukan ki 'lease' apne naam se Jamil Chacha ke naam 'transfer' ker di. Do saal baad abbu Pakistan gaye to Jamil Chacha ne paise dene to darkinar bulke abbu se ye keh diya - ab ye dukan meri hai - raat gayi baat gayi. Abbu wapas Canada aa gaye. PaisoN ka to koi gum nahi tha magar Aulad jesi Dukan khone ka gum unhe ander hi ander se khaye jaata tha aur usi gum main woh fot ho gaye. Kubhi khud hi kehte the: 'Jamil ki baat bhi theek hai' - phir khud hi kehte the: 'magar dukan to meri thi'....Aur phir aah bhar ker khud hi kehte the: 'Allah hi Qayamat ke roz faisla ker de ga'..... Aur mujh jesa bin-mazhab aadmi dil hi dil main Mirza Ghalib ka ye sher parhta hai:
jate hue kahte ho qayamat ko milenge
kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur
No comments:
Post a Comment