Saari duniya firaun (pharaoh) ko bura kehti hai magar main nahi kehta!
Firaun poora din khudaii ka dawa ker ke raat apne Allah ke huzur hazir hota, girgira ke muaafi maangta aur naadim ho ker so jaata.
Hum to aur bhi gaye guzre hain...Subah Allah ka naam le ker uthte hain, din bhar khudaii ke fa'el (acts) kerte hain aur raat apne zameer pe koi bhi bojh mehsoos kiye bagair khawabe-khargosh main kho jaate hain!

1 comment:
firaaun raat maafi maangta tha?
Ager mangta tou saza na milti.
hum dunya ko ghumraa kar keh khudh kay liye maafi tou nai maangte.
dunya main lagaye rehte hain...earning food for the table...visting the natural wonders HE has created..end main apne aap ko aur chota hissa samaj kar aur US par entirely dependent samaj kar..USKI gaud ki safety main apni rooh deh kar so jataye hain.
Aisa kabhi na ho kay hum firaaun say bhi gaye guzre niklain.
Post a Comment