Sufism ka raasta paani ki tarah hai! Har zamane main uski tareqat badal jaati hai
Mere liye aaj ke daur ke sufi woh economists hain, woh enterpeuners hain, woh philantrophists hain, woh scientists hain, woh writers hain, woh movie makers hain - jinhoN ne apne kaam se aik aam insaan ki zindagi pe marham rakhne ki koshish ki hai - jese - Baba Warren Buffet, Baba Bill Gates, Baba Abdus Sattar Edhi, Bollywood wale Baba Gulzar - in sab ko main Allah ke raaste ka musafir aur baabe samjhta hun.
Magar jis baba ke aage meri gardan kham hai - My hats off to - woh hai Baba Stephen Hawking!
Baba Stephen Hawking Allah ko nahi maante magar Allah ke raaste ke sab se bare musafir hain! - Un pe Baba Einstein ki tarah is kaainat ko - kaainat main "time and space" ko - samajhne aur samjhane ka - wajdan bhara hai.
Are Bhai! - Stephen Hawking ki 'singularity at the center of blackhole' ko jaane bagair rab ki taqat ka andaaza kese karo ge? ..........."Subatomic particles as virtual particles" ko samjhe bagair maut aur zindagi ke darmyan khichi lakir ko kese samjho ge!................."Top-down cosmology" ko parhe bagair, "Chronology protection" ko jaane bagair aur "Black hole evaporation" ko samjhe bagair -- 'Asar' aur 'Zamane' ka faraq kese samjho ge mere yaara! ---- Qiyamat hone ki mantiqi daleel kahan se lao ge?
O Bhai! 'human intellect' ne middle school paas ker li hai! ---- Ab 'kashful Mahjoob' outdated ho gai hai - ye daur Baba Abdus Salam ki 'Theory of Unification" parhne ka hai!!

Aap meri baat nahi maanain ge. Baba Ashfaq Ahmad ki ye clip dekh lain
*(I consider Firdaus Jamal among few greatest actors - who was unfortunately born in Pakistan)
4 comments:
Beautifully written......
Babe aur ashafaq ahmad...About all modern Babas I partially agree with you :)
Elaborate partially!
Sufism ki base Shariat Muhamaddi hay is ka bad tareqat ka rasta hay achay kam yaqenan hay bhalae zarori insanon ki lakin buniyadi falsfa akhrat hay sufism ka pechay is ko kyun faramosh kiya jata hay Sufism ka nam pay or Shariat ky baghar baat bante nahen.Ashfaq Ahmed ki baat ko kia manyen gay Sufism ky shaikuh ki baat na manayen khud Ashfaq Ahmed yh safar taa na kara sakay Wasif sahab ka sath ky apni EGO khatam nahen hoti the un ki
Shabeeh (Its a beautiful name) - will keep it short..
No 'silisila' of sufism ever went against shariat. In actuality, basic components of Shariat always remained integral part of sufism.
Absolutely Akhrat is the goal - but without piercing through the route of 'haququl-Ibad', Akhrat can't be find!
BTW: Ashfaq Ahmad is best described as "Journalist of Sufism". ..
Post a Comment