Friday, February 15, 2013

Jugnu jesa woh sitara!

Insaan ki zindagi main kabhi kabhi aese waqiaat hote hain ke aql hairan reh jaati hai, daanish faryadi ho jaati hai aur khird ka janaza nikal jaata hai! Meri zindagi ka aesa hi aik waqiya raqam kerta hun. Aqal maane to maniye - werna aik majzoob ki bur samjh ke aage barh jaaiye!

Na to is waqiye ke kai aur 'specifics' darj ker sakta hun, aur na hi us shakhsiyat (personality) ka naam! - ke is ki ijazat nahi!!

Mujeh mere khuda ne bagair maange itna kuch diya hai ke shikayat ka to sawal hi nahi tha. Na to main ne kabhi namaz parhi hai, na roza rakha rakha hai - bulke ulta rab ki zaat pe shak hi kiya hai. Quran bhi literature samjh ke parhta raha hun. Magar woh ajeeb kareem hai - mujh se nazrain chura ke jholi bhar deta hai, is liye dua mangte huwe bhi darta hun - ke bhai chup chap chale chalo aur maze lotte raho!!

Is waqiye ko bhi bagair maange aik naimat hi jaanta hun! - 10 baras baad bhi yun mehsoos hota hai, kul raat ka qissa ho!!

Zindagi main aik mor aesa aaya jab main bohat pareshan tha- kuch sujahi nahi deta tha aur dimag maa'uf tha. Mere beta bachpan se bohat bimar rehta tha. (We had been to many doctors, GI specialists, diagnostic tests, antibiotics etc. etc. but there was no relief)..... Jab aulad bimar ho to insaan ko kahin chen nahi parta aur woh har dubte tinke ka sahara dhundhta hai.

Aik roz apni pareshani ke alam main yunhi kisi akhbar ke safhe ulat pulat raha tha ke aik khabar parhi ke aik sahibe-ilm (not muslim) logoN ke kaam aate hain! Pehle socha unka pata/email dhundhun aur khat likh ke apni pareshani ka hal poochuN. Phir ye soch ke irada chor diya ke - dafa karo - Allah! khud hi koi sabeel nikal dega - aese kai fraudiye ghumte hain. Aik kamzor lamha hai guzar jaaye ga! Khud doctor ho kar peer-faqeeroN ka sahara lena - na baba na!

Kuch dino baad khawab main kiya dekhta hun woh buzurg saamne bethe hain. Unhe kabhi nahi dekha magar pechan leta hun. Yun to khawab hai magar sab haqeeqat lagta hai. Mera haat thamthe hain to aas paas ka saara manzar maddham par jaata hi aur aik jhagmagate jugnu jesa sitara hawa main gardish kerne lagta hai. Main poochta hun 'ye kiya hai?' Kehte hain: 'Zindagi ka sitara hai, pareshanioN se maand nahi parta! tumhari pareshani kheriat se guzar jaaye gi'. Main poochta hun: 'koi aesi baat batayye ke mere dil ko tasalli ho jaaye!' Jawab dete hain (angrezi main): 'I see this child healthy and also 2 beautiful kids growing!' - aur mujeh tasalli ho jaati hai..... (this is before my other kid was born). 

Kehte hain: "aur poocho?" Main kehta hun: "Zindagi main koi bari mushkil?" kehte hain: "tera rasta sahal likha hai". 

Phir meri zaati zindagi, mustaqbil aur khandan ke baare main kuch aesi batain hoti hain jin ka mujeh bhi us waqt ilm nahi tha. Un aurton ka zikar hota hai jo abhi zindagi main aai hi nahi thin!

aur phir..................  sitara madham ho jaata hai. Zindagi ka har naqash wese hi ho jaata hai. Aankh khulti hai to lagta hai aalame-adam se lota hun.


koi saliqa hai  aarzoo  ka,  na bandagi meri bandagi hai
ye sab tumhara karam hai Aqa, ke baat ab tak bani hui hai  

(Khalid Mehmood Khalid ka sher)

5 comments:

Taqi Raza said...

is this true or just an imagianary fiction story ??? if its true I want to discuss more about it , may be because I have also faced some similar situation in past , but I cannot discuss here , my email address is taqi10@yahoo.com , do drop me an email so we may talk in detail .

mystic-soul said...

Taqi,

There is nothing magical about it. All humans experience similar incidents at one or other point in life - and people have written extensively on it. Few days back I chronicled "Josh Malihabadi" narration in this regard. Just google and you will be surprise.

(dropping you an email)

bsc said...

I have not visited you for some time but this storymakes me comment. Many aspects. One: Sacchay Khwab called Ruya-e-Sadiqa are known for people (not necessarily Muslim and not necessarily to pious ones)considered one of 45 characteristics of Nabi (saying of Muhammad SAWS)
Second. aap nay suna hogadukhi ki faryad khuda sunta hay. Believe it or not Father's dua for child is more attended to by God even more than mother's. How Allah had created the khwab 'arrangement' for you with the buzurg is remarkable and of course that is Allah's doing Buzurg has nothing to do with it except a means of conveyance. I believe that is the truth and I can write a whole article onit

mystic-soul said...

Nothing baffles me more than concept of 'dreams'. They just happen to humans! - I strongly believe that 'dream' is not just few neurotransmitters moving here and there, rather its a medium between both worlds.

bsc said...

Yes you are right the two worlds, one which we live in and one which is hidden from us but is part of us and in that one the 'time' is differently oriented. It is both baffling and fascinating how God orchestrates these things.