Monday, July 22, 2013

Dui ki boo

Peechli post main Darzi Chacha ka zikar aaya. Woh bhi wese aik kamal ke aadmi the. Har shaks ko, har 'situation' main, aur har 'discussion' main - unhe 'Luqma' dene ki bimari thi - isi liye har jagah pehchane jaate the.

Unki dukan ke paas aik khan sahab ka chai khana tha. Har sham hum dostoN ki wahan mehfil jamti thi. Darzi chacha aik din wahan chai lene aaye the. Hum doston main mazhab, khuda wagera pe bahes chal rahi thi (Ye umar bhi ajeeb hoti hai. Har mazmoon saher-kun lagta hai). Kisi ne kaha: "Jab har mazhab ka khuda aik hi hai to itne saare tafarqe kiun?"

Is per Darzi chacha ne luqma diya: "Khuda aik nahi. Khuda yagana hai. Aik kaho ge to 'limited'*  ho jaaye ga"^

Aur phir ghalib ka ye misrah apne paan bhare mun se parh ke aage chal diye: "Jo dui ki bu bhi hoti to do chaar hota".#


* He loved using english words

 ^ God is not one. God is unique. If you call him one, he becomes limited.

# Full sher is  
"Usey Kon Dekh Sakta, ke Yagana Hai Wo Yakta?, 
Jo Dui Ki Boo Bhi Hoti To Kahin Do-chaar Hota"

No comments: