Friday, November 07, 2014

Qaziye-shehar ka matha chumo

After a long time, I heard this poetry of Mustafa Zaidi when someone posted after gruesome killing of Pakistani Christian couple - Pakistan ke naam



meri palkon ko mat dekho 
inka uthna inka chapkna 
jism ka na-mehsoos amal hai 

meri ankhon ko mat dekho 
inki auT main shaam e gareebaN
inki aaR mai dashte azal hai 
meray chehray ko mat dekho 
iss mai koi wada e farda 
iss mai koi aaj na kal hai 

ab us darya tak mat aao 
jis ki lehrain toot chuki hain 
uss seenay sey lo na lagao
 jis ki nabzain choot chuki hain 

 ab meray qatil ko chaho
 mera qatil, marham marham darya darya sahil sahil 
Qaziye-shehar ka matha chumo 
jis ke qalam mai zehray hilahil, jis ke sukhan mai lehle salasil 

ab uss raqs ki dhun per nacho 
jis ki gat per lut gaya qazi 
ji ki ley per bik gaya qatil 
bik gaya qatil, bik gaya qatil

1 comment:

bsc said...

چوٹوں سے بھرے الفاظ ہیں