Saturday, February 14, 2015

kya kya kiya

Muhammad Rafi Sauda, Urdu ke claasic period ke aik classic shayer the. Magar chunke Mir Taqi Mir ke ham-asar the to woh shaurat na paai jo unka haq tha. Unka aik shyr aesa hai, jis ke paaye ka shyr peechle 250 saal main saamne nahi aaya.

fikr-e-ma.āsh ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ

is zindagī meñ ab koī kyā kyā kiyā kare

'kyaa kyaa' aur 'kiyaa' ka aesa istimaal bus sirf isi aik shyr main dekha hai. Is shyr ko parhne se ziyada, kaano se sunne ka mazaa aata hai. Is shyr ko aik baar sirf 'kyaa kyaa' aur dusri baar 'kya kya kiyaa' keh ker parhiye - phir dekhiye!

'kyaa' aur 'kiyaa' do alag lafz hain, magar aik hi tarah likhe jaate hain - sirf aik zEr ka izafa hai. 'Kyaa' aik sawal hai aur 'kiyaa' aik amal hai - jese
  • kyaa kaha?
  • kaam kiyaa?
translation = Concern for livelihood, love for beloved, memories of the past - How much (kyaa kyaa) a human can pursue (kiyaa) in one life

1 comment:

bsc said...

You are so right. This expression is almost 'prophetic'