Tuesday, March 17, 2015

Mu'aafi

"Bhai! Main ne faisla ker liya tha ke zindagi bhar us aurat ko mu'aaf nahi karun ga! 
Us ne mere ghar ko ujara tha, meri aulad ko darbadar ker diya tha...

Shuru shuru main to beech raat dukh se meri aankh khul jaya kerti aur mere dil se teer ki tarah bad-duain nikla kerti. Waqt ke saath saath karb kuch kam to huwa magar main ne usey kabhi mu'aaf nahi kiya..

Meri bad-dua us ko kiya lagi, aik ke baad aik us ki paanch auladon pe museebatoN ke pahaaR toot pare. Bari beti ki aulad aphaj ho gai, aik bete ko cancer ho gaya, dusra beta ma baap ko chor gaya, aik beti ki talaq ho gai aur manjhli beti ke ghar yake baad degre 2 auladain ho ker faut ho gai....

Bhai bad-dua main dua se ziyada asar hota hai!

Log mujhe batate ke woh tum se mu'aafi mangna chachti hai..
magar mere dil main us ke liye siwaye bud-duaon ke kuch nahi tha!

Aur phir kuch ajeeb huwa !!

Mujhe raat ki taarikioN main uski siskian sunaii deti.. 
waqt ke saath saath ye siskian barhti gai - 
aur phir aik raat mere kamre main uski aah-o-buka-o-faryad-o-giryazaari ka woh matam bapa huwa ke mere ausan khata ho gaye. 
Us ki been kerti awaz se mera dil dhal gaya..

Main ne 2 rakaa't namaz parhi aur us aurat ko mu'aaf ker diya !!!!


Hear this blogpost here

No comments: