Zindagi main mujhe poore chaand se ziyada koi cheez mystify nahi kerti!
Poore chaand pe aik waqiya aksar yaad aata hai: USA main mera pehla hafta hai. Mujhe residency ke interview ke liye NewYork se Detroit jaana paRa. Paise the nahi, to bus ki raat ki ticket pe safar kerna shuru kiya. NewYork ke Grand Central Station se (Itna baRa station na dekha na suna) mere saath aik aur Pakistani doctor sawar ho gaye - Dr. Anwar. Hum saath saath seat per beth gaye. Jab raat apne joban pe paunchi to bus ki khiRki se mujhe aye baRa chaand nazar aaya. Itna baRa chaand main ne pehle nahi dekha tha. Main aur Dr. Anwar poori hairat se itna baRa chaand dekhte rahe. Phir Dr. Anwar ne aankhain band kerta huwa kaha: "Soch liya! Ab saari zindagi isi mulk main rehna hai".
Main ne poocha: "Abhi se faisla ker liya?"
Bole: "Jis mulk main aesa kubsurat aur baRa chaand niklta ho, use koi kaafir hi choR ker jaaye ga". Shayed sach hi kehte the woh!
Hum huwe tum huwe ke meer huwe
us kii zulfoN ke sab aseer huwe*
*(ye shyr is liye likha ke hamare aik dost dusre misreh main us ko tanzian hamesah US - United States - parhte hain)

4 comments:
There will be two separate comments. first one in Urdu
مرحوم معین اختر کے ایک کیسٹ سے کچحھ حصہ ڈاءیلاگ کا:
مریض؛ [۶۰ سالہ[ کیا خریدا؟
نرس : جی ایک سینری خریدی ہے
مریض : کیا ہے اس میں؟
نرس : جی پہاڑ ہیں اور ایک مون ہے
مریض : کیسا مون ہے؟
نرس: جی فل مون ہے
مریض " ہمیں فل مون پسند نہیں
نرس ؛ پھر آپ کو کیا پسند ہے؟
مریض زیادہ تر ہنی مون پسند کرتے ہیں
My daughter introduced me to this.
Last Monday, 20th June was solstice of 2016 and it was also the Strawberry moon (USA) This has happened for the first time since 1948 and will happen again next in the year 2062
I myself did not know even the fact that each month full moon in USA has a"name" to it courtesy of Indian tribes (this being strawberry but strange enough some people also refer to it as honey moon - back to Moin Akhter)
While I was busy going for taraweeh prayers she was busy catching this strawberry moon on her camera
Uncle thank you! I didn't know about this naming of full moon either. I learned something.
I have never been as sad for many many days but when Moeen Bhai died
Nihayat aala derjay ka mazaq rathtay thay and yes I had lot of respect for him. BTW "bara mahi" is a panjabi loke geet system I wrote some thing on my Urdu blog of April 13, maybe you have already visited
Post a Comment