Thursday, July 28, 2016

On "moment of near death"

(posted as said to me)

"Bhai! - jab main ne drug overdose kiya aur ICU ke bed pe para tha to - sab keh rahe the - ab ye nahi bache ga. Mujhe kuch kuch sunai aur dikhai bhi de raha tha - magar unko lag raha tha main aakhri hichkian le raha hun...... 

Main ne CPR ko bhi mehsoos kiya, ragoN main dawaian bhi mehsoos ho rahi thi. Mera vomitting kerna... aadha jism sun ho jaana ... dil ka dubna, bhai sab mehsoos ker raha tha main, magar...

Magar bhai - sab se ajeeb baat ye thi - mere dil ko yaqeen tha abhi maut nahi aani! Mera dil kahin keh raha tha - ye maut ka lamha to nahi ho sakta - Maut aesi to nahi hoti. 

Bhai! tum to doctor ho aur tum ne to aesi bohat kitabain paRi hain - Kiya hamari ruh ko maut ke zaaiqe ka ilm hota hai. Kiya maut aati hai to jism choRne ka pataa - dil, dimag, hum-zaat aur ruh saath de dete hain?

Bhai! mujhe aesa laga - main pehle bhi kabhi kahin mar chuka hun - aur tab to maut aesi nahi thi..Bhai! mujeh aagahii thi ke maut main to baRa itminaan hota hai... 

Bhai woh sab kiya tha! Bolo na !!!"

6 comments:

dopamine said...

sir kia waqae maut k baad sakun hoga? or it depends on the type of life we spend here??

bsc said...

Well your man is more fantasizing than real. I mean he was really not unconscious and is describing semicomatose state from which after vomiting many will recover but just because the bystanders said ýeh ab nahin bachay ga he seems to have taken that
Sukoon after death?
that is a world we know nothing about scientifically and the only thing given to us is from scriptural statements. which is not much
You may read the book
Mernay k ba;d kia hoga

Shaan said...

My grandpa use to say "Jab humdum ne kiya dum tab aaya Aadam"
humare jismO mei rooh phooki gaai. ussey pheyle rooh aur jism aalag aalag they...
Jism aur rooh ka aalag honey ko hi maut khey te hai......Humney pheyle bhi maut ka maza chakha hai....
Yeh mei soach ta huu......Maut key baad sukoon milta hai ya nahi yeh toa humare Aamaal decide kareingay.

dopamine said...

"Jab humdum nay kia dum"
Boht khubsoorat baat Shaann bhai. Kamaal. Loving this place.

mystic-soul said...

Uncle: My reply was same. Actually, I texted him link of this article, came out same day

http://www.wsj.com/articles/the-value-of-a-faulty-memory-1469553895

Dopamine: Your Q is the basic query of whole philosophy. Personally, I subscribe to Einstein's idea of no personal God but we all are dancing to a divine tune!

Shaan:
"Humdum ne kiya dum:
aa rahi hai sadaye kun fayakun"

dopamine said...

Sir Mystic-soul mjhy philosophy say yehi shakayat hy k beech chorahay mein la kr khara kr deti hy.. Koi final road, koi adress kuch tou pta chalna chahiya tha ab tk!
Meri kam ilmi pay boht maazrat sir, mein intellectual "puberty" pay chand din pahlay pauhancha hun.Iss say pehlay bs wohi khaya piya or so gaya. Agr koi gustakhi ho jae tou sir please mujhy guide zarur krna ap sb hazrat. Shukria.