Saturday, December 24, 2016

Bayan Pir Shams Multani ka

Shehar Multan ki 3 cheezain bohat mashoor hain - Gird, Garmi aur Gada - Aur mujeh is ka khob tajarba huwa

Ye 1997 ki baat hai. Main Pakistan ja raha tha. Chalte huwe mere aik roommate ne kaha ke: "Mujhe residency nahi milti. Hum Multan main Hazrat Shah Shams ke manne wale hain. Ye meri niyaz ke paise hain. Agar tum Multan ja ker unki mazar pe de do to mujeh tasalli rahe gi". 

- Main to khud Allah Rasool se munkir tha, magar us ka dil rakhne ko waada ker liya. Irada to yahi tha ke Karachi main kisi mazar pe de ker usey jhoot bol dunga, magar pata nahi kiya dil main aayi ke main Multan chala gaya.

June ka Mahina tha - aur jis din main train station se utra shehar main aandhi chal rahi thi (sandstorm) - ye wahan ke makeenoN ke liye aam si baat thi. Darjaaye hararat (temperature) 46 degree centigrade tha. Main station ke saath aik aam se hotel main theR gaya. Shaam ko garmi kuch kum hui to main ne aik Taxi li aur Hazrat Shams Multani ke mazar pe chala gaya. Niyaz ke paise wahan nazar kiye, hasbe wada dost ke liye dua maangi, aur Chai peene aik hotel pe beth gaya. 

Hotel ke saath hi gada-garoN aur faqeeroN ki mehfil jami thi. Harmonium pe bari sureli awaz main aik faqeer, Hazrat Shams Multani ka kalam ga raha tha. Allah jaane us kalam main kitni sachhai hai - magar kahani kuch yun thi ke - farishta Allah ke rasool se kalam ker raha hai - aur kehta hai - Is duniya se main aahista aahista aik ke baad aik ker ke das cheezain (10 things) le jaun ga. Jab ye das cheezain chali jaayain to samjhna qayamat ke asar hain. Main ne jeb se pen/diary nikali aur ye das batain note ker li. Bohat saaloN baad ye kagaz haat aaya.

Farishta Rasool se kehta hai 

Paheli baar cheezon se barakat le jaun ga
Dusri baar rishton se mohobat le jaun ga
Teesri baar Allah ki rahemat le jaun ga
Chothi baar Aurat Mard se sharam le jaun ga
Paanchwi baar daulat walon se sakhawat le jaun ga
Chati baar logon ka Iman le jaun ga
Saatween baar Logon ka Qol Qarar le jaun ga
Aathween baar hakim se adal le jaun ga
Naween baar duniya se sabar le jaun ga 
Dasween baar ilme-Quran le jaun ga

Sach poocho - to ye sab kuch duniya se kab ka ja chuka!! 
 -  magar na to zara sa koi patta hila, na koi qayamat aayi  
------ Allahu Alam

Baqol Faiz:: 
Rakht-e-dil bandh lo, dil figaro chalo 
phir hameen qatl ho aain, yaro chalo

6 comments:

mehnaz said...

Many things are truly going away from our lives as you said but "Rehmat"....no......we are being sustained by the "breath of the most merciful"-Nafs-e-Rahmani....
If it was possible to be without you; the while world would turn upside down; O FRIEND, THe garden if Eden would dry out; It is not possible without you.......

bsc said...

Yes I agree and I also feel eeman has continued in small places in small people that are not visible which is keeping the qiyamat in check
But other things are truely disappearing.
One thing I am not used to is this mazar nazarana when Allah who is close to us (near the jugular vein, or carotid artery) why call anybody else but dua made near such awliya Allah is more likely to be accepted they say One of my ëlder brother.s sher
وہ ہیں شہ رگ نشیں لیکن سمجھ میں آ نہیں سکتے
پڑوسی توکبھی یوں اجنبی پائے نہیں جاتے

mehnaz said...

Its said a walis chamber is full of barakah. But I agree some people are not following adab at such places.
Hazrat Zakariyya A.S. (prophet) prayed in the chamber of Hz. Maryam (a wali) when he recd glad tidings of YahyaA.S.
Of course he prayed to Allah s.w.t.

mehnaz said...
This comment has been removed by the author.
Shaan said...

Not everything is vanished
Kuch logo mei abb bhi imaan baki hai jo ajj bhi Allaha ki Marafat chatei hai.
Rishto mei abb bhi todi mohabbat baki hai.
Allaha ki rahemat humesha rahei gi. baki sab Allahu Alam

beautiful post:-
N i m learning a lot form uncle & Mehnaz's ...

mystic-soul said...

Uncle:: Mehnaz:: and Shaan - I agree :: we are still blessed with his blessings and love of loved ones.

The Last line was just a poetic expression for so many things going bad around us