Urdu adab ki ye aik aesi trajedy, jo mujeh aksar udas ker deti hai. Jab pehli baar Parveen Shakir ki mulaqat Joan Aelia se hui to unhon ne kaha: "Hum aap ki Shayeri se bohat mutasir hain". To Jaun sahab ne jawaban ye shyr paRha:
کتنی دلکش ہو تم ، کتنا دِل جو ہوں میں
کیا ستم ہے كے ہم لوگ مر جائینگے
Uske kuch arse baad Parveen Shakir is Jahane faani se kooch ker gayiN. Jaun sahab ke intaqal ke saath ye shyr lafz ba larf sach saabit ho gaya. Parveen Shakir apni ain dilkashi ke joban per - aur Jaun sahab jab Urdu mushayere ke sab se dil-Jo shayer Therey - chaley gaye
Dusra misrah peechle do-teen mahinoN se aksar mujeh raat ke ghoop andheroN main haunt kerta rehta hai
No comments:
Post a Comment