Hamare abba ko Allah jannat naseeb kare, aksar kehte: "Beta bure logon se dur rehna, jahan bure log hote hain wahan se achhi ruhain chali jaati hain. Aur jahan khusbu ke saath halka sa dhuwan ho wahan achhi ruhain deraa daal leti hain".... Har shaam magrib ke waqt ghar main agarbatti ki jaati. Jumeraat ko to khas poore loban (Incense) ka bandobast hota - aur abba der tak musalle pe beth ker tahjjud paRhte rehte.
Ho sakta hai, koi pakeeza ruh na aati ho magar pakizgi ka aik aehsaas zaroor rehta. Hum daheriye (atheist) the magar kisi shaam agar agarbatti na hoti to lagta - aaj ka din kuch adhoora sa reh gaya.
BarsoN beet gaye - Abba chale gaye - magar
Aaj bhi jab kahin agar-batti jalti hai to abba yaad aa jaate hain - aur main sochta hun
--- kese aik choti si cheez se insaan ki yaadain juR jaati hain - jo holey holey insaan ki zindagi ko - andar hi andar - aik dheemi si aanch pe muattar kerti rehti hain.
Baqol Shafiqur-Rehman :: "Ye jhilmil jhilmil kerti hui piyari piyari kirnaiN"

No comments:
Post a Comment