Sunday, January 15, 2017

On "Biwi ka saath"

"Biwi ka saath bhi baRi zalim shey hai yaara.

Hamari shadi ke 28 baras main se 15 saal, hum ne alag reh ker guzaare. laRte rahe, baat baat pe jhagaRte rahe. Kabhi susral ke jhagre, kabhi paison pe jhagra, kabhi bachhon pe jhagra aur kabhi kisi baat pe - aur kabhi kisi baat pe jhagra.

Magar jab mujhe heart attack hua aur main 3 din CCU main paRa raha - to na ma baap the, na dost yaar aur na bachhe. Agar koi milne aa bhi gaya to visitig hours poore hone se pehle chala gaya, kisi ko parking nahi mili aur kisi ka koi kaam aaRe aa gaya. ... aaj ke zamane main rishte bhi saare text messages main tabdil ho gaye hain. "Get well soon" ke google images bohat aaye -- magar mera haat thaame koi khaRi thi to wahi biwi thi. Mujeh dard ho to nurses ko wahi bulaye, mujhe koi takleef ho to woh 'take care' kare.

Mard baRa bad-naseeb hota hai. Use Biwi ke saathi hone ka pata buRhape, dukh, takleef aur bimari main hi hota hai. Jab jawani chali jati hai - to mard aik dam se kamzor ho jaata hai - aur biwi ka pata lag jaata hai. Jawani mard ko kutta bana deti hai. Burhape main woh auqat pe aa jaata hai.

Mujeh ab samjh aayi ke kiun, agar burhape main biwi mar jaaye to mard 6 mahiney main hi is duniya ko daage-mafarqat de jaata hai".

5 comments:

bsc said...

aisa kon sa joRa hoga jo jhagRoN men nah paRta ho
drust hay- hbiwi hi sath deti hay mushkil waqt men
awr buRhapa aik mushkil waqt hi to hay

mystic-soul said...

Agree - Uncle - agree

Rida said...

laikin ager mard aurat ko dunya mai akela chor jaey to wo kiun or kis aas pr zindagi ko galay lagaey rakhti hy.?? Or akeli zindagi ki chaki mai pisti rehti hy is k bawjaoos bhi k wo mard sy mohabat ka dawa b krti hy..??

Rida said...
This comment has been removed by the author.
mystic-soul said...

Rida ::: Aurat ka shohr agar buRhape main chala jaye to zindagi mushkil to ho jaati hai, magar mard ki banisbat woh ziyada aasani se apne aap ko pote,potion, nawasi, nawasion main masroof ker leti hai

Mard apni anaa se maara jaata hai