Saturday, May 15, 2021

Saying NO

 Meri umar 17 ya 19 baras rahi hogi. Ilhaad (atheism) ke saare falsafe mere sir pe chaRh ke bol rahe the. Abbu ne raat poocha: "Kal Eid ki namaz pe saath chalo ge? ya khud jao ge?" Mera jawab tha: "sath."

Abbu fajar ke baad pehli jamat main namaz ada kerte. Meri wajah se 10 baje wali aakhri jamat tak ruk gaye. Abbu Nazimabad ke idgah maidan barsoN se jaate the, wahin purane doston se bhi mulaqat ker lete. Meri wajah se ye sab kuch miss kiya. Shayed unhe mere khayalat ka andaza tha. Chahte the ke main mazhab ki taraf raagib rahun.

9.00 baje main ne abbu se khaha: "Aap bhai ke saath chale jaayain. Main ne koi namaz wamaz nahi paRhni".

Abbu us waqt to chal diye magar sham unhoN ne aik baat kahi jo ab tak yaad hai. 

"Zindagi main musbat haan aur na bohat zaroori hai. Aaj to aesa nahi huwa magar aksar logon ki zindagiyan, khushiyan, zaroori plans hamari haan aor na se bante aur bigaRte hain. Na kehne main koi muzaiqa nahi magar us se bhi ziyada khatanaak cheez hai taal matol. Zindagi main musbat naa kehna sikh lo werna kai rishton se haat dho betho ge."

(It's important in life to say clear YES or NO. It didn't happen today but many times people's lives, happiness, major plans depend on our yes or no. There is no harm in saying NO but even more dangerous is to be ambiguous. Learn to say 'Absolute No' in life, otherwise, you may lose many relationships).

2 comments:

Books and Stilettos said...

Definitely agree with your dad’s opinion on absolute yes And No … I can’t stand people who do what you did at that age- understandable because your brain wasn’t fully developed yet lol … But people who change their minds at very last minute after making a commitment are often insincere and lack confidence that’s my observation- its not like someone is pointing a gun at your head and you can’t say an absolute yes or no - emergencies happen too and things can change at the very last moment but some people have this habit ….they definitely lose me as a friend or an acquaintance!!

mystic-soul said...

Yaap... I learned many lessons hard way in my life.