Sunday, November 14, 2021

On Chefs

Hamare aik Mamu ko khandan ki har shadi pe- deg per bitha diya jaata tha. Wajah ye thi ke mamu khud aik bohat achhe bawarchi the. 1971 ki jang main border cross kerte huwe pakRe gaye the. Hindustaan ki jail main rahe, wahin se khana banane ka shoq lag gaya. Kehte the - jab qedi khane ke zaaiqe main apna har gum bhul jaate - to mujhe bohat khushi hoti thi.

Ab bhi yaad aata hai unki speciality 'mazedar garam garam roTian" hoti thi. Allah hi jaanta hai kiya alag kerte the ke roti itni mazeddar banti thi.

Aik din abba ne mamu ke dekh ker kaha tha:

"Jis shaks ko dusroN ke liye rotian pakane ka shoq ho - woh shaz-o-nadir hi bura hota hai."


2 comments:

bsc said...

تازہ روٹی بس ایک خواب ہو کر رہ گئ ہے اے دوست

mystic-soul said...

Yaap.. now I buy a pack of 5 naans from the freezer of a grocery store, or a pack of Rotis from desi store - cold and clammy