Saturday, January 15, 2022

On perfect cleaning

 Meri zindagi main kai shahkar insaan aaye hain. 

Residency ke dino main hamara aik roommate tha - Athar. Ab to uska naam bhi sochta hun to hansi aati hai.

Hum sab ne apne kaam baanth rakhe the. Mere zimme ghar ki grocerry laana, Aleem ke zimme mail collect kerna, Asghar pe khana pakana (kiunke iska kaam mushkil tha to use roommate ki sharing main discount milta)..aur aese dusre kaam hum baant lete.

Athar taqreeban rozana apartment ki aadhi addhi safaii kerta - kabhi poori safaii aik saath nahi kerta - daanista kuch hissa choR deta. 

Hum kehte: "Oh bhai! tera bhi roz waqt zaaya hota hai aur hume bhi koft hoti hai. Aik hi dafa main saari safaii ker le to 4/5 roz ka aaram rahe".

Us ka jawab hota: "Jahan insaan rehte hon, wahan har waqt kuch na kuch be-tarteeb rehna chahiye, werna sab kuch bohat 'fake' lagta hai. Jab tak ghar kuch kuch be-tarteeb rahe, aehsaas rehta hai ke yahan log rehte hain." !!!

Hum us ki mantiq pe sir jhatak dete aur sab kuch wesa hi chalne dete.

2 comments:

bsc said...

Men Ather saheb se ittefaq kerta hun

. . . . .lekin kabhi kabhi isay tanhaa bhi chhor day

mystic-soul said...

Lol...I agree