Monday, April 17, 2023

Lahore

 Ye Pakistan ki khusnasibi thi ke Lahore Pakistan ke hisse main ayya. 

Magar is Lahore ko banane main jo hissa hindu aur sikh biradri ne ada kiya us ka zikar Pakistan ki taarikh se hadf ker ke hum PakistanioN ne bara zulm kiya. Saadat Hasan Manto ne aik afsane main likha tha (it was a true story):

" ہجوم نے رخ بدلا اور سر گنگا رام کے بت پر پل پڑا۔ لاٹھیاں برسائی گئیں، اینٹیں اور پتھر پھینکے گئے۔ ایک نے منہ پر تار کول مل دیا۔ دوسرے نے بہت سے پرانے جوتے جمع کئے اور ان کا ہار بنا کر بت کر گلے میں ڈالنے کیلئے آگے بڑھا۔ مگر پولیس آ گئی اور گولیاں چلنا شروع ہوئیں۔ جوتوں کا ہار پہنانے والا شخص زخمی ہو گیا۔ چنانچہ مرہم پٹی کیلئے اسے گنگا رام ہسپتال بھیج دیا گیا۔"

JubMustansir Hussain Tarrar ki kitab "Lahore Awargi" paRhi to aehsas huwa ke sach kehte hain:

"Badnaseeb hai jo Lahore main paida na huwa: aur us se bhi ziyada badnaseeb hai woh jis ne Lahore nahi dekha."

Peechle saal Pakistan gaya to kuch dino ke liya Lahore akela chal paRa. Andoorne Lahore ki galioN main subah se shaam mara mara phirTa raha. 

Dursi Qaumain apne wirse ka khayal rakhti hain - aur hum ne achhe bhale lahore ke saath wahi kiya jo Changez Khan ne baghdad ke saath kiya. Farq ye hai Saqafati nishan ukhaR ukhaR ke wahan plaze-dukanain bana diye.



2 comments:

bsc said...

You are right
So sad. When I went last time (Lot of my family is there starting from my younger sis
I did not feel I was in Lahore

mystic-soul said...

The whole country is a sad affair.

Poora mulk pansaari ki dukan bana huwa hai....