Thursday, December 28, 2006

Nana

Rasheed Mamu ne cigarette ka aik lamba kush liya, mun chat ki taraf kar ke naak se dhunwan nikala, kuch der khamosh rahe aur bole: "tum aaye nahi ! Marne se pehle tumhare nana tumhara bohat intizar kerte rahe".

Main jawab diye bagair saamne sofe pe betha raha. Mamu ne tafseel se nana ke aakhri dinon ke qisse, maut ke lamhat aur janaze ki rasoomat bayan ki. Main chup chap betha sunta raha aur saari kahanion ke khake apne zahen main banata raha. Mamu ne phir wahi baat ki aur chup hoke ke cigarette pine lage ke: "Tumhare nana ko tum se bohat mohabbat thi. Unhon ne tumhe paigam bhi bhijwaya tha ke - us se kaho ke aa sakta hai to aa jaaye. Magar tumhari ammi ko tumhare la-ubalipun ka ilm tha is liye baat chupa gain".

Main phir chup raha. Woh saare lamhe jo nana ki qurbat main guzare yaad aate rahe. Ye woh log hote hain jin ki aankhon main noor hota hai aur jin ki sohbat main sirf pyar aur sukoon ka aehsaas rehta hai.

Kafi der main aur mamu chup chap bethe rahe. Main uth ke chalne laga to mamu ne kaha: "Barson main aate ho. Nana the to phir bhi kabhi kabhi aate the. Ab aaoge ya nahi?"

Main ne kaha: "Nana jese log ajeeb hote hain mamu. Mar ke bhi unki khushbu nahi marti. Aaj bhi unki khushbu is makan main hur su pehli hai. Jub bhi duniya ki us haramzadi 'job' se, jis ne mujhe nana ki mayyat main aane se roke, se dil bhar aaya to is khushbu ki thandak simatne zaroor aaun ga"

No comments: