Wednesday, March 07, 2007

Aik prostitute se mulaqat


Us din subha se mera mood bohut kharab tha. Dopher ko main apne dost noor ke ghar chala gaya. Woh apni bahen tehseen ko, jo nai nai model bani thi, le ker apni motorcycle pe kisi 'commercial' ki shoot pe chorne ja raha tha. Noor khud bhi kisi band main guitarist tha. Kehne laga; 'ye bhi ajeeb shoq pala hai isne, tum betho main aata hun". Woh gaya to thori der main us ki maasi aa gai. Mujhe koft hone lagi. Main uske ghar se nikal ker sadar chala gaya. Yunhi dukanoN pe phirta raha. Phir yaad aaya ke aaj 'asia foundation' wale qareebi aik auditorium main koi social 'play' kerne waale hain. Main chalta chalta wahan pauncha. 'Play' main aik mashoor actress kaam kerne waali thi. Main ne sab se aage ka ticket liya aur hall main chala gaya.

'Play' kia tha social issues pe poora kitabcha (booklet) tha. Audio system bhi theek nahi tha. Main uth ker auditorium ki lobby main aa gaya. Wahan ikka dukka log the. Bathroom main gaya to, is qisam ke 'plays' main jo society ki upper class aati hai, un ke bachhon ne hangama machaya huwa tha. Jagah jagah ice cream gira rahe the. Ab ke hall main ghus ke peeche ki aik seat pe beth gaya.

Kuch der baad aik larki aai aur mujh se chipak ker beth gai. Main zara hath ke barabar ki seat pe huwa to, us pe cigarette peete aik shaks ne aahista se mujh se kaha: "Dhandhe waali hai". Main us ki baat sunke chaunka. Larki ki taraf dekha to woh beparwah 'play'dekh rahi thi.

Main ne himmat ker ke kaha 'bahir chalain'? Woh khari ho gai. Hum lobby main aa gaye.

Main ne kaha: 'kahan jaayain ge'?

Boli: 'Mere saath aao'?

Hum saath saath chalne lage. Main ne poocha: 'Tum kaun ho'?

Boli: 'Rakhel'.

Jawab main aesa zaher tha ke main ne aage poochna munasib na samjha. Hum auditorium ke peeche kachhe makanon ki aik gali main paunche. Woh mujhe aik darkhat ke peeche le gai. Darkhat kiya tha bus bari si aik jhari thi. Woh neeche bethi aur us ne meri zip khol di. Sham dhalne lagi thi magar gali main idhar udhar bachhe khel rahe the. Aik gari bhi us kachhi gali se guzar gai. Main ne zip band ki, use ooper kiya aur bola: "ye bohut unsafe jaga hai. Chalo wapas chalte hain". Hum auditorium ke parking lot main aa gaye. Use Shayed andaza ho gaya ke main kuch kerne ke mood main nahi hun aur sirf waqt guzar raha hun. Ab woh mere saath kafi comfortably aik gari se lug ke batain ker rahi thi. Mujh se phir na raha gaya. Main ne poocha:

"Tumhare waldain nahi hain?"

Boli: "Thandi baraf ho gaye hain"

Main us ki baat nahi samjha: "Matlab?"

"Mar chuke hain"

"Koi Bhai bhi nahi ?"

"Hai"

"Chota hai?"

"Nahi bara"

"To phir ye kaam ?"

"Mere ma baap mar chuke the. Main jawan hone lagi to ghar pe mohalle ke lurkon ke phone aane lage. Hamare muashre main hamesah larki hi karab hoti hai. Aik din kisi larke ka phone aaya. Bhai ne uthaya. Us ke baad mujhe itna mara ke main behosh ho gai. Gusse main ghar se bhag gai. Aakhir aik aadmi ki rakhel ban gai".


"Chalo yahan tak to baat samjh aati hai magar ye jism bechne ka kaam kiun?"

"Jab us shaks ke paas paise khatam ho jaate hain to mujh se dhandha kerwata hai"

Itne main aik van aai aur woh us main beth ke chali gai. Us ke jaane ke baad mujhe khayal aaya ke us ne mujh se paise to liye hi nahi. Main sochta raha ke hum hi in aurton ko pesha kerne waali bana dete hain aur phir unhe kai naam de ke zindagi bhar ruswa kerte hain.

Har tawaif, randi, ghasti, taxi, chalu ya call-girl ke peeche shayed kisi aik bhayanak mard ka chehra chupa hota hai!

3 comments:

Anonymous said...

:O mulaqat aur baat ki baat alag mager aapne aap.. :S :O!!

Anonymous said...

پنجابی کی ایک ضرب المثل ہے

رنڈیاں تے بھیندیاں نیں پر مشٹنڈے نئیں بھین دیندے

mystic-soul said...

Annonymus - kuch huwa hi nahi. Mulaat aur baat aik hi rahi !!

Ajmal - please translate and explain !