Sunday, September 21, 2008

Sayed Ali aur Zubi


Zaroori Nahi hamare India/Pakistan ke 'conservative' culture main sab theek ho. Khud hamare 'conservatism' ki apni buraiaN hain.


Zubi sare mohalle main badnaam thi kiun ke uski umer koi 16 ya 18 baras hogi jub usne do char stage dramon main kaam kiya. Hamare mohalle ke aik lurke nauman ko acting ka shoq tha. Nauman ke saath main kubhi kubhi 'arts council' drame ki rehearsal dekhne chala jata tha, wahin meri Zubi se dosti hui. Main Zubi ko chai pilata aur lateefe sunata. Zubi khud bhi kamal ki hazar-jawab lurki thi. Agar use taalim ka mauqa milta to bohat aage jati bulke agar acting ki duniya main hi rehti to aaj uski tasveer bhi Karachi ke har billboard pe hoti.

Drame ki practice raat gaye khatam hoti aur jub Zubi ko koi lurka mohalle main raat gaye drop kerta to kai aankhain uth jaati. Zubi ke walid faut ho chuke the, amma motape(obesity) ki wajah se maazur thi aur aik chota bhai tha. Zubi ke paas is ke ilawa chara nahi tha. Zubi ki parsaai ke liye mujhe kisi qasam ki zaroorat nahi.
Ye sach hai ke stage pe kai 'obash' (pervert) log kaam kerte hain aur shareef gharane ki lurkian amuman wahan nahi bhatkti magar zubi ne shayed hi kisi ko had se bharne diya ho.

Kuch arse baad mohalle walon ki wajah se Zubi ne ye kaam chor diya aur tower pe aik firm main typist ki naukri ker li. Ye aik ajeeb ittafaq tha ke mera aik dost Syed Ali usi building main job kerta tha. Sayed Ali Zubi pe aashiq ho gaya. Woh Zubi se shadi kerna chahta tha magar jub 'inquiry' pe Sayed Ali ke ghar walon ko Zubi ke pehle stage dramon main kaam kerne ka ilm huwa to unhon ne Sayed Ali ko Shadi se rok diya. Baat khatam ho gai magar donon ke dil main mohabbat ki aag sulagti rahi.

Sayed Ali ghar ka kafeel tha. Jub Sayed Ali ke ghar walon ne lurke ki halat dekhi to bilakhir shadi ke liye haan ker di magar shart lagaii ke jub tuk Sayed Ali ki bahen biah nahi di jati, ye shadii nahi hogi. Sayed Ali ki bahen ki shadi to nahi hui magar woh aakhirkar Hepatitis A ki aik waba main faut ho gai (will write detail in other post). Magar ye Saniha koi 6 baras baad hua. Bilakhir unki shadi hui.

Ab ki baar main Pakistan gaya to socha dekhun dono kese hain. Main Sayed Ali ke ghar gaya to Zubi school van se apne bachhe ko utar rahi thi. Mujhe dekh ke bohat khush hui. Main ne poocha kitna bara ho gaya tumhara ye beta. Zubi ne jawab diya: "6 Baras ka ! Agar log kamine nahi hote to shayed ye aaj 12 baras ka hota". Zubi ne baat to mazaqan kahi magar andar chupa teer bata raha tha woh saari zindagi uske maathe pe lagaya gaya badnami ka daag nahi bhule gi !



No comments: