Sunday, April 15, 2007

Ajmal Sahab ki bebasi


Meri internship main geriatric service ki rotation ka pehla din tha. Mere attending ne 'skilled nursing facility' main mujhe patients assign kiye. List main pehla naam dekh ker main chonk giya. Naam tha "Ajmal Khan".

Jab main kamre main daakhil huwa to bister pe aik kamzor sa insaan leta tha jis ke pet main feeding tube aur groin main foley catheter (urinary tube) lagi hui thi. Ajmal sahab ko 2 saal pehle stroke ho gaya tha aur is baar bedsores ke infection ki wajah se admit kiya gaya tha. Ajmal sahab chalne phirne se maazur ho gaye the. Baat kerne main bhi taklif mehsoos hoti thi. Main ne unse baat kerne ki koshish ki magar unke lafz meri samjh main nahi aaye. Main ne unhe examine kiya. Nursing station pe aake unka chart (file) khola. Nazar social service ki report pe ruk gai. Us report ka bohut sa hissa aaj bhi mujhe yaad hai:

"Mr. Khan is a 62 years old Pakistani male with CVA causing left hemiplegia two years ago. He is bed bound and unable to take care of himself. He resides with his elder son. He has three other sons who reside out of state. His son and daughter-in-law work full-time and requested permanent placement at the nursing home. I had a conference call with all sons yesterday, and they are willing to cover expenses if needed. Mr. Khan appears to be depressed, and besides CVA, his major problems include back and heal wounds, frequent urinary tract infections requiring hospitalizations, and malnutrition. He does not participate in physical therapy sessions. He is cleared for transfer by his primary care physician, who agrees to continue care at the nursing home. Acceptance from a nursing home is pending until his son signs the agreement".

Main dubara Ajmal shahab ke kumre main daakhil huwa to woh bed ki railing pakare sidhe haat ki taraf let ker, khirki se bahir kuch dekh rahe the. Chehre pe bebasi ka tassur numayaN tha. Mujh main baat kerne ki himmat nahi hui. Main kumre se niklne laga to table pe pare 'Get well soon' ke card per nazar pari. Neeche unke char beton ke naam likhe the. Magar lugta tha Ajmal sahab ke liye woh card be-maani tha aur woh maazi ki kisi yaad se apni la'chargi ka madawa kerne main masroof the.

Jub bhi Ajmal Khan yaad aate hain to main dur sa jaata hun !

No comments: