Asghar Bhai ne jab Tasleem Apa se shadi ki to dono ki umar 20 ya 21 baras se ziyada nahi ho gi. Ye mohabbat ki shadi thi magar koi 'zalim samaj' beech main nahi aaya. Shadi ke aik hi saal baad dono ke haan aik chand si beti paida hui. Uske baad yake baad digre do aur auladain huin. Aik chote se 'flat' main saas, susar simat kul 7 afrad ki zindagi guzarne lagi.
Ye aik aesi kahani hai jis ka agaz ooper diye gaye climax ke baad hota hai. Chota sa flat, qaleel si amadni aur shaksiaton ke tafarruqon ne ghar main aik musalsal tanao paida ker dia. Tasleem apa zaban ki karwi to thi hin magar mua'shi tangdasti ne unhe aur karwa bana diya. Baat baat pe Asghar bhai se uljhne lagin. Asghar Bhai ko mohalle aur khandan main khidmate khalq ka shoq tha aur is baat pe aaye din mian biwi main tu tarakh hone lagi. Suna hai aik aadh baar Asghar Bhai ne Tasleem apa ko 2 haath bhi jhar diye. Asghar Bhai ki walida yani Tasleem apa ki saas bhi thori sir phiri khatoon thin. Jab din main mard ghar pe nahi hote to saas bahu ki larai chalti rehti.
Ghar ke bare is baat se bekhabar the ke 3 bachhe ye sab kuch rozana apni aankhon se dekh ker uska aik ajeeb nafsiyati asar le rahe hain.
Tasleem apa ne apne masail se farar ka addiction 'binge eating' main dhundha. Motape (obesity) ka marz ho gaya. Ooper se stress ke baais blood pressure aur diabetes bhi lag gayi. Dawaai bhi waqt pe na khatin. Chirchira pan aur barh gaya. Mohalle ke log baat kerte huwe bhi katrane lage. Gharelu larai ne aik 'vicious cycle' ki surat akhtiyar ker li. Aur phir jese hi Tasleem apa ke heart pe se 'estrogen' ka 'protective effect' khatam huwa - aik raat 12 baje unhe jaan lewa heart attack huwa aur woh is duniya se chal basin.
Is baat ko kai baras guzar gaye. Main America aa gaya. Un ke bachhe bhi jawan ho gaye the. Aik din ittafaqan unki beti se yahan america main aik conference main mulaqat ho gai. Woh doctor ban ker yahan residency ker rahi thi. Hu bahu Tasleem apa ki shakal thi. Magar us se baat ker ke mujhe bara dukh huwa. Sirf 10 minute main mujhe andaza ho gaya ke us ke ander kitna zaher bhara hai. Pakistan se le ker mard zaat aur american airlines walon ke excess baggage charges se le ker hospital ke chief resident tak - hur kisi se us ko shikayat thi. Us ka jumla mujha aaj bhi yaad hai ke: "life is so unfair". Main chup raha ! Ye kehne ki bhi himmat nahi hui ke 'bibi shukar karo, america main residency ker rahi ho'.
2 baras pehle Pakistan gaya to pata laga ke ab Asghar bhai kahin africa main karobar ker rahe hain. Tasleem apa ke susar ko stroke ho chuka tha aur woh bister pe the. Main milne gaya to tasleem apa ki saas ki zaban ab bhi wese hi chalti thi. Asghar bhai ka bara beta dubai nikal gaya tha aur chote bete ke baare main mohalle main mashur tha ke hum-jins-parast (gay) ho gaya hai !
Ghar ka mahol be-haal ho to us ke asraat barson us ghar ki auladain bhugatti hain !
Baqol Ashfaq Ahmad: "Allah hum sub ko asani ata kare aur asani taqseem kerne ka sharf bakhshe"