Sunday, October 07, 2007

Fear Factor


Jub Barkatullah ka mujhe phone aaya to main samjha karachi se phone hai magar ye sun ker meri hairat ki intaha na rahi ke woh San Diego se bol raha hai. Barkatullah se meri aakhri mulaqat 15 baras pehle hui thi, jub main ne karachi chora. Barkatullah pehle hamare mohalle main rehta tha phir woh log kahin aur shift ho gaye magar mulaqat rehti thi. Barkatulla cricket kamal ki khelta tha. Gazab ka spin bowler tha. Sara din mohalle main awara gardi kerta, cricket khelta aur mohalle ki hur committee main shamil kiya jata tha. School se bhagna roz ka mamul tha.

Main ne poocha: "Tum San Diego main ho?". Us ne bataya aik biomedical company ki international advisory board main shamil hai aur asian region ko represent kerne aaya huwa hai.

Meri gari ne aik jhatka khaya. Main ne kaha: "Excuss me ! Tum Barkatullah hi bol rahe ho na?"

Us ne zor ka kehkaha mara aur bola: "Haan main wahi tumhara mohalle ka shararti bachha, Barkatullah hun".

Kafi batain hui. Lekin un baton main uski batai hui ye baat qabile zikar hai. Jub main ne poocha ke itni taraqqi kese ker li, to us ne kaha:

"Iska sara credit mere walid ke optimistic attitude ko jata hai, jinhon ne hamari nakaamion ko bhi gale se lagaya. Abbu sunday ko hone wale mere sare match dekhne aate. Main wickets lun ya mujhe chakke pare, abbu tareef hi kerte ke, 'chakka lug gaya magar tumhari gugli kamal ki thi'. Tum to jaante ho hum bas 'hand to mouth' log the aur ye bhi ke main school main kitni mushkilon se paas hota tha. Magar jub bhi paas hota, abbu khub khush hote aur mithai le ker ghar aate. Jis din mera metric ka nateeja nikla, abbu office main the. Woh mithai ka dabba le ker ghar aaye. Main ne darte darte bataya ke abbu main fail ho gaya hun. Woh has ke bole: 'chalo koi nahi, har saal paas hone pe mithai khate hain, is baar fail hone pe sahi'. Abbu ke is tarah ke 'attitude' ne mere ander se nakaami ka khauf nikal diya. Mujh main opportunities ko avail kerne ki ajeeb taqat aa gai. Risk lene ka dar khatam ho gaya. Aur jub main ne zindagi main race pakri to dorta hi chala gaya".

Ye ander chupa dar hi hai, jo insaan ko aage nahi barhne deta. Hum me se kitne log hain jo apni aulad ko kamyabi se ziyada nakaam hona sikhate hain - ke 'how to move on with failure ?' !!

No comments: