Tuesday, October 09, 2007

Woh purani imaratain


Jub hum 7 - 8 baras ke hote the to mohalle main aur ilaqe main nikal ker makanoN pe likhi taarikhaiN parha kerte. Purani se purani imarat dhundhte. Pehle zamane main jub koi imarat bunti to uspe imarat ke naam ke saath san (year) likhwa diya jaata jese "aastanae-ameer san 1962", "nageena building 1944" , "Zainab manzil 1954", "kaashane-jameel 1971" wagera wagera. Koi ziyada shoqeen hota jese hamare taya the to - unhon ne hamari haweli pe pakistan ke 2 parcham bhi banwa diye. Koi sher likhwa leta. Garz ye ke imarat jitni purani hoti uske makeen mohalle main utne izzat dar samjhe jaate. Imarat ki banne ki taarikh aur us se jure makeenoN buzurgoN ke qisse bayan kiye jate.

Phir waqt badal gaya !

Imarat jitni purani hoti us ki qeemat utni kum hone lagi. Log koshish kerne lage "jitna naya 'house' ho behtar hai". Sidhi baat hai - imarat jitni purani hogi utne bakhere hon ge. Repair ka kharch barhe ga. Plumbing khasta hogi. Deewaron ke andar shayed deemak bhi ho aur kaun jaane kahan koi bhoot hi chupa betha ho. Aur sab se barh ker, jub phir bechne nikalo to purane makan ki "resell value" bohut kum hoti hai.

makanoN pe se uske banne ke saal mitte gaye!

Aur phir purana makan tor ke, uski jagah 'town homes', 'apartments 'aur buland-o-bala 'towers' ne le li. Raton raat purkhon ke makan ne logoN ki chandi ker di. Shaher aahista aahista cement ke darbon (cage) main badal gaye.

Ye hai woh safar jo hum ne iqdar (values) ki duniya se tijarat (commercial) ki duniya tuk kiya. Baqol Nasir Kaazmi

Akele Ghar se poochti hai be-kasi
tera diya jalane wale kiya huwe

Yeh aap hum to bojh hain zameeN ka
ZameeN ka bojh uthane wale kiya huwe

No comments: