Thursday, December 13, 2007

Ahmar ka Pakistan

(Based on true incident)

Ahmar ki umar koi 9 baras hai. Ahmar New York main aik Pakistani parents ke ghar paida huwa. Ahmar ke waldain aik achhi zindagi ka khawab le ker america aaye aur din raat mehnat ki. Jahan unhon ne Ahmar ki taalim-o-tarbiat main koi kasar na utha rakhi, wahan ye bhi khayal rakha ke woh urdu sikhe, Pakistan main apne - dada dadi chacha chachi mama mami aur cousins se 'touch' main rahe. Ghar pe isi maqsad se desi channels lagwaye gaye. Us ke parents use hur Pakistan parade main zaroor le jaate.

Ahmar ke dil main aik apna Pakistan tha jo bohut confuse tha. Aik taraf uske parents ka bataya huwa Pakistan tha. Dusri taraf CNN ka Pakistan tha magar uska dil kerta ke woh bhi Pakistan jaaye, apne cousins se mile - jub uski 'mummy' use sadar main sarak kinare pani puri khane ka qissa batati to woh apne zahan main sadar ki sarkain bana leta. Jub us ke 'daddy' use tower ke bus stop pe W-11 ki mini-bus main charhne ka haal sunate to woh chupke chupke internet pe 'google images' pe 'Karachi W-11' type kerta.

June ki jis dopher uske parents ko mail main green card mosul huwa usi din se Pakistan jaane ka program banne laga. Hur roz ghar main bus Pakistan Pakistan hota. Ahmar ne khud apne hur rishtedat ke liye, kubhi manhattan se to kubhi jackson heights se shopping ki.

Aur phir december ki aik sham Ahmar 'very very excited' apne parents ke saath Pakistan rawana huwa. Fajar ki azan hui aur unka jahaz Karachi airport pe land ker giya. Karachi airport uske liye aik nai duniya thi. CNN ka Pakistan maadum ho chuka tha. Uske parents ka Pakistan zinda jaagta uske saamne tha.

Karachi ke airport se aik gari ne unki gari ka peecha kiya. Jub woh guru-mandir ke paas Garden ke ilaqe main apne dada ke apartments main daakhil hone lage to unhe rok liya giya. Pehle hawai firing ki gai. phir sara saman loot liya gaya. Ahmar ka american passport, uske parents ke Green cards aur saare bags cheen liye gaye.

Ahmar ke dil main ab Pakistan mar chuka hai !

4 comments:

sobia said...

kia kijiye k haqeeqt beherhaal talkh hai! bus dua ki ja sakti hai k Allah Ahmar ko kuch aisi Pakistanion se zaroor milwaye k uss k dil mein pakistan wapis zinda ho jaey keunk 'Ghar to Akhir Apna hai'

Anonymous said...

Sahi kehti ho...bus dua hi ki ja sakti hai !

Anonymous said...

Dua ke saath saath "dawaa" bhi karnee chaiye kiyunke ghar to aakhir apna hei...

Anonymous said...

Kafi dinon se yahi sir khurech raha hun ke...

"aakhir is dard ki dawaa kiya hai"