Wednesday, December 26, 2007

Bayan shamshu chole wale ka

Karachi ke ilaqe 'patel para' main aik shaks barson se chole chaat ka thela lagata hai aur naam hai us ka shamshuddin urf 'shamshu chole wala'.

Agar aap shamshu ke chole khane jayain to aap ko is baat ki ijazat nahi hai ke aap, chole ki plate milne ke baad chole mix ker sakain ! Jese woh aap ko chole ki plate haat main de, aap ko wese hi khani pare gi. Agar aap ne chole ki plate ko mix ker ke khane ki koshish to woh aap ko tok dega ke "chamcha mat maaro", kiunke shamshu chole waale ka khayal hai ke plate main chole aur masale mix kerne se us ka asli zaaiqa kharab ho jata hai !

Aksar logon ka wahan jhagra bhi ho jaata hai ke hamare chole hain, jis tarah chahain kha'ain. Ye baat 'shamshu' ko bohut nagawar guzarti hai.

Mere dil main 'shamshu' ki bari izzat hai kiunke woh sirf rupe kamane ke liye chole nahi bechta bulke apne kaam se ishq kerta hai.

Zara aik lamhe ko sochiye ke agar aap koi mussawir hon aur koi aap ki 'painting' khareed ke us per chuna pher de - to aap ko kesa dukh hoga. Bus jab koi 'shamshu' ki plate main 'chamcha maarta hai' to use bhi wesa hi dukh hota hai.

5 comments:

Anonymous said...

beautiful :)

mystic-soul said...

thnks

Anonymous said...

I've been eating shamshu chat since I was a little kid. His dad used to sell in front of the Aga Khan Garden Jamat Khana. Back then a plate would cost char ana.

Anonymous said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Anonymous said...

Interesting to find someone who has been there !!