Saturday, December 15, 2007

Chotu Bhai

Chotu Bhai amma ke koi dur ke rishtedar the magar abbu ke bhi achhe dost the. Unhon ne hame godon khilaya. Chotu Bhai ke 5 bachhe aur hum qareeban saath saath jawan huwe. Chotu bhai ke ghar gurbat ke haaton tang-dasti rahi magar mehnat ker ke rizqe-halal khane wale insaan the. Kubhi kisi ke aage haat nahi pehlaya. Chotu bhai masjid ke bahir khare ho kar qurani ayaton ki frames becha kerte the. Isi kamai se unhon ne 3 betion ki shadian achhe gharon main ki. Aik bachhe ko CA kerwaya aur dusre ne Karachi ke real estate business main khub rupe kamaye.

Peechle mahine main Karachi gaya to ghar walon se pata laga ke chotu bhai ka chota lurka jo CA hai, usne ab ghar walon se nata tor liya hai. Shadi ke baad uski biwi ke liye Karimabad main rehna mushkil tha aur chotu bhai karimabad main barson purani rihaish chor ker clifton ya defence main muqayyad nahi hona chahte the. Zara si baat bari ho gai aur ab bol chal band hai. Bare lurke ne chotu bhai ko masjid ke bahir qurani ayaton ki frames bechne se rok diya ke is main izzat kharab hoti thi. Us ne apne baap ko apne hi office main mulazim rukh liya !

Karachi main mera dusra din tha. Purane janne walon ke kisi bachhe ki shadi thi. Unhe mera pata laga to zabardasti shadi pe le gaye. Shadi hall ke bahir chotu bhai apne bete ki real estate ki advertisement ke pamphlets baant rahe the. Mujhe bara ajeeb laga. Mere cousin ne bataya ke unki yahi naukri hai ke shadi halls ke bahir advertisement ke kagaz baante.

Mujhe dekh ker chotu bhai aik dum jhijhak gaye. Pamphlets ka palanda chupane ki koshish ki to saare kagaz zameen pe gir pare. Bare jhenpte huwe unhon ne saare pamphlets jama kiye. Khare huwe to aankhon ke peeche aansu the. Gale lage, haal poocha.

Main ne pamphlets ki taraf ishara ker ke poocha: "Chotu bhai ye kiya?".

Bharrai hui awaz main bole: "Bete ki naukri hai. Woh jesa bole wesa kerna parta hai. Aik beta to haat se gaya. Ab is burhape main dusre bete ko khona nahi chahta, isi liye ye sab kerna parta hai".

No comments: