Wednesday, October 01, 2008

Tumhe mere Allah ne bheja hai

(written on Eid day)


Zaroori to nahi ke Zindagi main insaan ko har kisi ki baat ka yaqeen aa jaaye magar phir bhi aksar kuch baatain dil main reh jaati hai.

Pakistan ki aik trip ke dauraN mujhe ye khayal aaya ke aaj bus se safar kerna chahiye. Karachi main ‘prince cinema’ se zara aage ‘tibet center’ ka bus stop hai. Jumme ka din tha aur dophar ka waqt huwa hoga. Main bus ke intazar main khara ho gaya magar bus thi ke aakar hi nahi deti thi. Mere sabar ka paimana labrez huwa aur main ne aas paas nazar doraii to aik khali rikshaw khara nazar aaya magar us khali rickshaw ka driver nazar nahi aaya. Main ne wahan khare aik shaks se poocha: ‘is rickshaw ka driver kahan hai?’ to usne door khare aik bachhe ko awaz di: ‘Munne jao chacha se kaho, sawari aai hai’. Munna saamne dukan pe bethe aik chache ko bula laya. Chache ne mujh se kaha: ‘Aap to kub se wahan bus stop pe khare the, kiya irada badal diya?’. Mai ne jawab diya: ‘Bus chacha! Dhoop se behaal ho raha hun’. Chacha ji ke chehre pe aik muskurahat aai aur bole:

“Mere Allah hi ne tumhare dil main ye khayal dala ke aaj bus ka safar karo, phir tumhe dhoop se behaal kiya aur mere rickshaw ke paas bheja. Aaj mera kaam kafi thandda tha aur main soch raha tha ke – aaj ka kharch kese poora hoga? Kiya mujhe aaj phir mithaii wale ka aata goondhna pare ga? Magar mere Allah ne tumhe mera rizq bana ker bhej diya. Tumhe mere Allah ne bheja hai”

Mujhe unki baat ka yaqeen to na aaya magar main ne sir hila diya. Chachaji to bari asani se eeqan ki rassi thame apni mushkil se guzar rahe hain. Sochta hun, bure waqt main hum jese munkir, iman ki woh taqat kahan se laayain ge !!

Peechle eid ki posts: Bhoot and Eid in west

6 comments:

Anonymous said...

oh wow.are you telling a real atory.how i wish i had the same iman.how i wish.i think i am(we all are)comfortably numb.

Anonymous said...

Yes ! it was a true encounter...and left a deep mark..

Anonymous said...

Jo bhi hota hey, insaan kay bhalay kay liye hota hey. Agar ham is choti si zindagi, aur akhirat kay din, aur os kay baad ki daimi zindagi ko zehan may rakha karai.n to bohat say sawalon ka jawab milna aasan ho jata hey.
The rikshaw driver's love for Allah is praisworthy.
MashAllah.

Anonymous said...

you are soooooo right...

Anonymous said...

ji han rizq paisa dolat izat sub kuch mera rub allah deta hai woh bara khaliq hai us per yaqeen kia to bus sarey kam hojaen gay jis ney allah k yaqeen ki rassi tham li to samjho sub pa liya apney ap ko apni muhabbat ko or jis sey muhabbat ki hai us ko phir chahey wo kuch bhi ho aesa nahi hai k koi lalach hai is liye manga bus jahan zaroorat ho wahan to allah hi sub deney wala hai phir chahey wo chacha ki rikshaw ho ya unki rozi unhon ney sabar kia or khud quran ma aya hai k jis ney sabar kia us ney sub pa lia or sabar to thorey hi dino k liye hota hai ap sub sey aik guzarish hai merey liye dua karein k allah mujhey merey zindagi k maqsad ma kamyab karey mujhey bhi bus allah or us k rasool per dil sey yaqeen hai or inshallah jo pana chahti hoon pa loon gi ameeeeeeeeeennnnnnnnnnnn meri dil sey dua hai plzzzzzzzzz do pray for me sachey dil sey aik dua dey dein k ma apni manzil pa loon phir inshallah jub pa loon gi to zaroor bataon gi k wo kia tha jis ney mujhey hidayat di wo beshak mera allah tha magar zariya kon tha kion tha inshallah zaroor bataon gi bus merey liye khuda k wastey dua karen plzzzzzzzzzz sirf dua or allah ap ma sey sirf unhi ki dua suney ga jo sachey dil sey or achhiiiiiiiiiiiiii si dua dein gay allahhafizzzzzzzzzzzzzzz dua zaroor kariye gaaaaaaa byeeeee

Anonymous said...

Alah ap ki saari aarzooaiN poori kare..Aameen...