Tuesday, October 28, 2008

Human Touch, Women and Business

Mere aik dur ke chachha the. Hum unhe Shaban Chachha kehte the. Wese intihai be-zarr se aadmi the magar Allah jhut na bulwaye, thore se sust (lazy) bhi the. Saari zindagi idhar udhar choti moti naukrian kerte rahe. Aur agar kubhi karobar main haat daala bhi to woh unki sustravi aur ziyada sote rehne ki adat ki badolt beth gaya…

Akhri baar unho ne ‘north nazimabad’ ke ilaqe main aik choti si bakery kholi. Main jub kubhi us ilaqe se guzarta to abba ki nasihat ke baais unki bakery pe salam kerne ruk jaata. Ab ki baar bhi karobar ka wahi haal tha aur who phir bakery band kerne ka soch rahe the. Pore din main bakery ba-mushkil koi 40-50 rupe ki ‘bikri’ (sale) kerti.

Koi 6/8 mahine
baad amma ne bataya ke Shaban chachha ki bakery khub chal pari hai. Mujhe bari hairat hui. Ab ki baar unki bakery gaya to customers ka aik jame gafir tha. Faraq sirf itna tha ke ab bakery chalane main Gulshan chahhi ne unki help kerna shuru ker di thi. Main ne Shaban Chahha se poocha: “aakhir aesa kiya majra huwa ke bakery aik dum se yun chal pari”.

Chachha ne jawab diya: “Tum to jaante ho ke ye saara residential area hai. Ziyada tar gharelu log ya khawateen hi hamari customers hain. Tumhari gulshan chachhi ne logon ki dukh dard ki kahani sunna shuru ker di (I knew her from before, she is a very good listener). Customers ko is bakery se cheezon ke saath dukh dard ka madava bhi milna shuru ho gaya. Phir who aros paros ke logon ke liye kubhi ghar se pakore to kubhi gulab jaman paka ke laane lagiN. Dusri taraf Bakery ki bhi halat durust ki. In sab ke baais peechele 8 mahine main tumhe ye sun ker hairat hogi ke meri roz ki sale 5000 rupe ho gayi hai aur bare dinoN pe to ye 9/10 hazar tuk ho jaati hai”.

Kiya ye sach hoga ke:
Women due to their ability of creating 'human touch’ are better sales person than men?


2 comments:

bsc said...

This is really remarkable. I have more examples of how women have a different touch as compared to men and not just because of laziness or other drawbacks of a person.
In my practice I have frequently been amazed by how a woman comes to take care of a diseased (that may be extreme example but close) man who can no longer care for himself (remember I was a neurologist) Be this a mother, a sister, a wife a girl friend even ex-wife but I cant recall ever to have seen a man doing the same. There may be some odd father for a disabled son but never the sole caregiver at home.
Allah nay aurat ki zaat aisee banai hay keh woh behter "nursing" ker sakti hay, chahay log kucch hi kahain magar yeh mera zaati tajriba hay.(Woman's touch?)
Aik zaati kanai likhi thi jo sept, 2002 main aik urdu kay risalay main chhapi thi ghaliban mujhay aopnay blog main dobara likhna hoga?
Thats why I say your kahani inspires me

Anonymous said...

Dear uncle,

Please post your story again at yr blog.

I yhink, God has given women a special 'touch' as a mother, which always stay with her.