Saturday, October 13, 2007

Bhoot !!

- Eid pe khususi tehreer


Amma batati hain ke bachpan main, main neend se uth ker chalne lagta aur poochta jata ke "Woh white white cheez kiya hai?" (meri schooling english medium hui shayed isi liye white white kehta tha).

Aik to shuru se kuch mera rujhan paranormal cheezon ki taraf tha aur phir doston, kitabon, filmon aur tajarbat ka kuch aesa asar para ke aik zamane main mujhe paranormal, parapsychological, new age wagera type ka literature parhne ka addiction ho gaya. 1994 se 2001 tuk ka zamana woh tha jub main ne is mozun per sekron kitabain khanghal daalin. Horror films dekhne ka shoq isi silsile ki kari hai. OOB (out of body) ki mashq kerne ki behuda adat, ruhain bulane ki tarqeebain wagera bhi isi zamane ka shakhsana hai. Sunsan galion, qabarstaon aur 'haunted house' khangalne ka janoon (to be a ghost buster) usi dor ki yaadgarain hai. Ooper se internet ne jalti pe tel ka kaam kiya. Aaj bhi agar aap mujhe waqt dain to main ghanton beth ke is mozun pe parh sakta hun aur youtube ki videos dekh sakta hun.

Ye tamheed baandhne ke baad agar aap mujh se poochain ke: "what's the point?", to ye ke:

Bhoot, bad-ruhain, churailain, peechal-paherian, jinn aur is tarah ki kai mawraye-nazar makhlukat (ya aap jitne naam sun chuke hain), is kaainat ka hissa hain magar yaqeen kijye unhe aap ko nazar aane aur tang kerna ka koi shoq nahi. Jo kuch aap ne parha hai ya suna hai woh 90% bulke 95% jhoot, darog goi, factuation, aadha sach, ya phir khud bayan kerne wale ka nafsiyati problem hai.
(Just to note: in this regard, concept of schizophrenia remained my favourite and you should watch the movie - 'A Beautiful Mind').

Ye sab cheezain hamare saath rehti hain magar unki apni duniya aur apne masail hain. Insaan un se bari makhlooq hai. Siwaye shaitan ke kisi ke paas itna power nahi ke insaan ko haunt kare. Aur agar kubhi aesa ho bhi to un ko bhagnae ke liye quran ki 2 ayatain (ya jo mazhabi kitab aap folllow kerte hon) bulke kisi sufi ka kalam, koi bhajan, koi ginan - bulke mirza ghalib ke ashar bhi kafi hain !!

Insaan ko agar darna hai to un buraion se dare jo shaitan us pe daalta hai.

Awwal to choti burian jo "addiction" ki surat main insaan ko pakar leti hain - Smoking, paan, chai, hukka, charas, sharab, pornography - ye woh bhoot hain, woh churailain hain jin se chutkara ziyada zaroori hai. Ye insaan ko ghulam bana leti hain, nuqsan paunchati hain aur zillat ka dum deti hain !


Dastane-ameer-hamza main kisi gumnam jazeere pe aik badruh umru ki gardan pe charch gai aur umru jese ayyar ko bhi peecha churana mushkil ho gaya.

Aur us se bhi azeem bari burian hain - gussa, hasad, jalan, garoor, taqat, hirs, lalach wagera - jinhe dusre mazahib main Kam (Lust), Krodh (Rage), Lobh (Greed), Moh (Attachment) aur Ahankar (ego) kaha gaya hai - ye woh balain hain jinka "exorcism" sab se ziyada zaroori hai.


Agar aap kubhi mazaron pe gaye hain to wahan halwa bata jata hai. Halwa ya mithai jin paanch cheezon se banti hai woh hai doodh (kheer), cheeni (khand) , ghee (grath), ata (bhojan) aur saaf paani (amrat) - ye ishara hai ke aadmi darguzar, pyar, haleemi, qanat aur sachhai ki zindagi guzare.

Khush rahiye, abad rahiye, mithai ka mafhoom yaad rakiye aur khub Eid manaiye !


Eid Mubarak.

7 comments:

Anonymous said...

SINCE U MENTIONED ABOUT INTEREST IN PARANORMAL,JUST WANTED TO KNOW WHAT HAPPENS TO QURREIN AFTER A PERSON DIES

Anonymous said...

I didn't get the word "QURREIN"

Do you mean "RUHHEIN" (Soul) ?

Anonymous said...

it's hadis that with every soul that comes in this world shaitaan appoints one of the shyteen with it, and it's called qarreen or qurrein .

mystic-soul said...

OK OK..Qareen...

Qareen has been describes many places as jinn and at some places as human own astral body (anti-matter state of this body). I never found them read as naib of shyteen but very well may be. They can be good or bad but mostly described as bad and deceitful. They stay in the "system" and said to be mostly available on call. Many times theses are Qareen who visits pppl when they ask for soul to come in a glass etc. They live around us. Actually we all live together - humans, human souls, jinns, qareen, angels, evil beings...

Humans are protected by God's words and I don't think, any oter being has power to haunt them, unless you deliberately mess with them.

Anonymous said...

Thanks for answering, but my questation
1.is how long does qareen live
2. when a person dies what happens to his qareen, and
3. i was thinking that may be that this reincarnation thing that people talk about may also be related to qareen

Anonymous said...

Qareen has said to have lives of centuries. They also carry good amount of 'ilm' and knowledge of future. Also, they can roam in universe as desired. These are the same species for which "surah naas" said...min sharril waswasil khannas, allazi uwaswisu fi sudurinnas, minal jinnati-wannas....

They play with human mind sets !!

When person dies qareen lives in this universe and roam. If man continue to grow as evil in this life his qareen will be stronger at death. Reincarnation is very debatable. I personally doubt it is a fact but simultaneously many evidences shows that it occurs. But if person given chane again of birth, he has to live and to control his qareen more than before.

I personally, found all these so misleading and confusing that..best teaching is to concentrate on one's 'amal' and ask for help from God.

Anonymous said...

Thanks . i agree with u.