Friday, October 30, 2009

Aurat ke gaaloN ki surkhi

Hamari umer koi 12/13 baras rahi hogi jub bari Apa ki shadi hui. Bari Apa shayed shadi se bohat khush nahi thiN magar doli beth gaiN. Dusre roz jub khandan waale unhe rasm ke liye ghar le kar aaye to bari chachi ne kaha: "GaaloN ki surkhi dekh ke lagta hai, bitiya sari zindagi khush rahe gi"

Meri aadhi zindagi guzar gai tub mujhe pata laga - Aurat ke gaaloN ki surkhi ka kiya matlab hota hai!

Tuesday, October 20, 2009

On End of life care

Agar aap ko yaad ho to main ne is blog pe Shamsha aur Salim (here) ka zikar kiya tha. Kuch dinoN pehle mujeh ittlah mili ke un ki walida Karachi ke aik hospital main bohat bimar hai!

Main ne unhe phone kiya to Shamsha se baat hui. Baat bohat choti si hai magar bohat aham hai -aur shayed hum sab ko sikhati hai ke apne 'loved ones' ke aakhri ayyam main hame kiya sochna chahiye.

Jub Shamsha ne phone pe mujhe saari tafseel batai to main na khaha: "Dekho tumhari walida ke bachne ki umeed to bohat kum hai. Ye batao tum kiya chahti ho?....I mean do you want to be very aggressive till doctors do CPR, cardiac shock and code till technically pronounce dead or let her go peacefully if there is no reasonable hope. Un ki further treatment - is baat pe depend kerti hai ke - tum kiya chahti ho?"

Shamsha ne jawab diya : "Hum to bas unke liye aasani chahte hain!"

"Than remove ventilator and let her be pain free with morphine". I replied.

Bieng a physician, my impression is that - many times family members treat themselves and put their 'loved ones' through painful medical interventions which unnecessary just prolong their agony!

Magar ye sochne ki salaihiyat pane ke liye ke "Hum to bas unke liye aasani chahte hain!" - khud andar se bohat mazboot hona parta hai.

Trust me - its not easy!!

Sunday, October 18, 2009

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Zehra Nigah ki khubsurat nazam - Pakistan ke har Shahr ke naam


Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jub pet bhar jaaye
to woh hamla nahi kerta
darkhtoN ki ghani chauN main ja ker let jaata hai

Hawa ke tez jhonke jub darkhtoN ko hilate hain
to maina apne bacche chor ke
kawwe ke andon ko paron se tham leti hai

Suna hai ghonsle se koi bachha gir pare to
sara jangal jaag jaata hai

Suna hai jub kisi naddi ke paani main
baye ke ghonsle ka gandumi saaya larzta hai
to naddi ki rupehli machlian use parosi maan leti hain

Koi toofan aa jaaye koi pul toot jaaye
to kisi lakri ke takhte per
ghilari, saanp, bakri aur cheetah saath hote hain

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Khuda wanda, jaleel-o-mautabar,
daana-o-beena, munseef-o-akbar
mere is shahr main
ab janglon hi ka koi qanoon naafiz ker

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Saturday, October 17, 2009

On Journalism

"Page 3" is one of my favorite movies on yellow journalism. See the following scene - from 3.32 secs to 5.12 secs. I love this guy - Atul kulkarni. His dialogues are worth giving attention.

https://youtu.be/Yp6usDPuG3g  (If video doesn't plat, click the link)

Monday, October 12, 2009

Shatranj

(When I was learning chess - I remember following advise from a teacher)

"Dekho beta! Shatranj ke khel main 2 tarah ke khiladi hote hain. Aik woh, jo pehle chaal chal ker dushman ko maat dena chahte hain. Magar ziyada shatir woh hote hain, jo dushman ki chaal ka intezar kerte hain taake na sirf dushman ki zehni kefiat ka andaza ho sake bulke us ke mohre chal jaane ke baad, ziyada kari zarab lagai ja sake. Shatranj ke khel main, chalak hone se ziyada sabir hona zaroori hai"

Zindagi ka khel bhi shatranj ki bisat se koi ziyada mukhtalif to nahi!

Thursday, October 01, 2009

On dealing with women

Aurat ko samjha nahi jata; Aurat ko samjhaya nahi jata - bulke Aurat ko sirf 'manage' kiya jata hai.

(As per one wise husband)