Sunday, January 31, 2010

Sab se bara dukh?

Hum sab dost jub is 'saturday night' saath mil bethe to guftagu is sawal pe chal nikli ke, 'duniya ka sab se bara dukh kiya hai?'

Main ne kaha - Aulad ki bimari ya aulad ke mar jaane ka dukh,
kisi ne kaha - Ma baap ki bimari ka dukh,
kisi ne kaha - apne apahaj (handicap) ho jaane ka dukh,
Kisi ne kaha - apne hi burhape ka dukh,
kisi ne kaha - tanhaii ka gum
kisi ne kaha - ishq ka dukh

raat 2 baje tuk sab par ke so rahe magar koi faisla na huwa....

11 comments:

bsc said...

My opinion
the same order as you have written
that is
number one is what you said and then next and so on

mystic said...

Ya phir Shayed har kisi ko bus apna dukh bara lagta hai.....

Anonymous said...

Ape aap ko kho dene kaa dukh bhi kum nahin hota!

mystic said...

apne aap ko khone ka dukh to bohat hi shadeed hota hai!!

beyond said...

i think the feeling of not in control.baybassi.i think it hurts the most.

Anonymous said...

i think aulad ki bemari ya mazuri ka dukh sab se barh ke hota hai .mai ne kahin yeh aik line parahi thi ''aulad ke dukh waladain ke chehray per naqash bun ker ubhar aati hain' and i think its true....

Saima said...
This comment has been removed by the author.
Saima said...

Sir Mystic-Soul Ji--you picked the biggest dukh--all other pains, griefs, challenges, with time and patience can be subsided, and even forgotten; but to see your child suffer... In my humble opinion, there is no amount of time or patience, nor any age of your child relevant, that even with the grace and mercy of Allah to have the strength to live each day, will a parent feel any less pain, than the first day feeling that pain.

mystic said...

Beyond - I have been in situation where I am in total 'baybasi' and I can understand the depth of it.

Annonymous - Kiya baat likhi, wah: 'aulad ke dukh waladain ke chehray per naqash bun ker ubhar aati hain' - so true

Saima - bikul sach kaha - Aulad ka dukh sala kubhi purana nahi hota!!

tahir hassan said...

mujhe aik bar mere susar (father i law) ne aik bat kahi jo main apse b share krna chahta hon... he said.. "beta, ap jantay hain k hum ko olad ka dukh maa baap k dukh se b barh k q mehsus hota ha?"..main khamosh rha to woh bolay.."Q k yeh hmara khameer ha, hmaray grand father (hazrat adam) k maa baap nahi thay, unko sirf oladd mili ro unki fitrat mein sirf olaad k liye feelings bn gayen aur jo genetically aj tk hm sb insano mein forward ho rahi hain"... hence proved k "olad ka dukh wakeiye boht zalim hota ha" !!!

tahir hassan said...

Allah hum sb ko aasaniyan ataa farmaye aur aasaniyan taqseem karne ka sharf ataa farmaye. (Amin)