Some people continue to amaze you. I know Suroor for about 4 years now as a prolific English writer but when she send me following in Urdu 'rasmul-khat' I was amazed. Unfortunately I was unable to get Urdu fonts. Interestingly, she can write with similar flow in Arabic. I guess! few people are just God gifted!
Humeesha
Zindagi ke dhool paRhe kuch panne palaTte huay
Kal ek jagah par meri ungliyaan thum si gaeen
Ek waqt se peeley huay panne par
Tumhara naam kabhi naKHoon se khooda hua tha
Kab, Kiyoon, kahaan? Yeh to yaad nahin
Aur yaad karne ki ab ijazat bhi nahin
Bohat bar chahaa ke tanhai ke andheroon mein
Main apne he nakhoonoon se tumhare naam ko khurach Daloon
Magar phir Khoon se bhare naKHoon goud mein rakh kar
Main rukh jaya karti hoon
Kiya yehi meri Kismat hai, keh tum humeesha
Meri zindagi ka ek dard or khoon se bhara hissa bane raho ge?