Najmul Hasan mere paros ki 'building' main rehta tha. Uska taaluq Bangladesh se tha. Main ne Chicago main pehli dafa gaari kharidi to jese mujhe par mil gaye. Main har sham 'Michigan Lake' ki drive pe nikalta. Koi saath aaye na aaye Najmul Hasan mere saath ho leta. Dhimi tabiyat ka aadmi tha. Hum kehte - ya saala jawani main hi buddha ho gaya hai. Jub Najmul Hasan ne bhi gaari kharidi to sab ne sir pakar liye. Hum kehte - ise kisi din slow driving kerne pe ticket mile ga. Mere jub 2/4 accident huwe to mujhe samjhata ke - tezraftari se tumhari hi nahi bulke dusroN ki jaanoN ko bhi khatra hota hai. Gaari ahtiyat se chalaya karo...main uski suni ansuni ker deta.
Chicago chorne ke kuch arse baad aik roz - New York ki parhioN main - aik 'turn' lete huwe meri gaari ulat gai. Gaari ka haal dekh ker koi ye nahi keh sakta tha ke jaan bachi ho gi. Magar Allah ki qasam - aik kharash tuk na aai. Us din Najmul Hasan bohat yaad aaya jo hur 'turn' pe apne makhsoos bengali lehje main kehta - 'seeloww'!
Zindagi chalti rahi. Sab dost idhar udhar ho gaye. Kuch saalon pehle pata chala Najmul Hasan Arkansas ke kisi bohat hi chote town main reh raha hai. Hum ne kaha - wahin theek hai!
Peechle hafte mujh pe ye khabar kisi bijli se kum na thi ke - saal pehle Najmul Hasan ka aik chote se signal pe accident ho gaya. Magar aesa bhayanak accident ke Najmul Hasan ki aik taang kaatni pari. "Severe intracranial bleed" ki wajah se mahinoN hospital aur Rehab main raha. Uski biwi use phir Bangladesh le gai hai jahan physical therapy hoti hai magar saari zindagi kaam kaaj kerne se maazoor ho gaya hai.
Ye Zindagi saali bari harami hai. Jo is ki toqeer kare, aksar use hi zillat ka tauq pehna deti hai.
5 comments:
Disagree with ur thoughts.....
Most of my readers don' t agree with my views - welcome to club and enjoy!
I love this incident :). What comes shall come. Not that you will not be given good deeds for being safe for helping others...mager jo hona hoga ho jayega. I love this ult phulat of life. It reminds us how minute and temporary it is.
Ajeeb pehli hai ye zindagi.
Yes , "what comes shall come"
However, that does not mean that carefulness is unnecessary.. Despite all care one does come across the mishap one was trying to avoid.
One must lock the door even though that does not guarantee the house will not be broken into.
Poor Najmul. I feel sad for him
Post a Comment